Ads 468x60px

May 21, 2018

Sarkaar Ki Midhat Ke Mazey [Lyrics]


Sarkaar ki midhat mazey loot rahe haiñ,
Khalwat meiñ bhi jalwat ke mazey loot rahe haiñ.


Sarkaar ki galiyoñ ka niraala hi samaa hai,
Duniyah hi meiñ Jannat ke mazey loot rahe haiñ.


Jab se hai mili Shaah e Madinah ki ghulaami,
Shaahoñ pe hukumat ke mazey loot rahe haiñ.


Sarkaar ki ulfat meiñ tarapne ka silaa hai,
Be-chaini meiñ raahat ke mazey loot rahe haiñ.


May 15, 2018

Madinah Dekhne Waala Udaas Aaj Bhi Hai [Lyrics]

Nazar meiñ Ghumbad e Khazra ki pyaas aaj bhi hai,
Madinah dekhne waala udaas aaj bhi hai

Gunaahgaar ko Aaqa bulaalo Taibah meiñ,
Zabaan e Ishq pe ye iltimaas aaj bhi hai

Ajeeb rooh ka rishta hai shehr e Taibah se,
Hai jism Hind me Dil unnke paas aaj bhi hai

Hamaari fikr ke sehra meiñ Na'at ke sadqe,
Ke taaza taaza ummeedoñ ki dhaas aaj bhi hai

Meiñ Unnse door sahih woh mere qareeb to haiñ,
Nabi ka Dast e Karam aas paas aaj bhi hai
 

Visitor's Traces

Total Page views