Ads 468x60px

Jun 7, 2018

Tera Darbaar Mufti e Azam [Lyrics]

Tera Darbaar Mufti e A'zam,
Hai pur-anwaar Mufti e A'zam.

Tera deedaar hai dawa meri,
Mein hooñ beemar Mufti e A'zam.

Kasrat e gham ka kyuñ ho gham mujh ko,
Jab haiñ ghamkhwaar Mufti e A'zam.

Ghawth e A’zam ka waasta sun lo,
Sun lo Sarkaar Mufti e A'zam.

Tooti kashti pe toota toofaan,
Kijiye paar Mufti e A’zam.

Sunniyoñ mat daro la’eeno se,
Haiñ madadgaar Mufti e A’zam.

Le ke aaye haiñ hum saee daaman,
Bhar do Sarkaar Mufti e A'zam.

Aap ke dar se ho ke jayenge,
Hum bhi Sarkaar Mufti e A'zam.

Ab zamaana kaha se layega,
Tum sa Dildaar Mufti e A'zam.

Phir zamane ko chahiye tumsa,
Ek me'waar Mufti e A'zam.

Apni sham'e Wila se chamkaaya,
Saara sansaar Mufti e A'zam.

Naadim e be-hunar se mad-ha teri,
Kab ho Sarkaar Mufti e A'zam.

Apne Zaahid ko kab dikhaoge,
Apna Darbaar Mufti e A'zam.

Zindagi Haqeeqat Meiñ Bas Usi Ne Paayi Hai [Lyrics]

Zindagi haqeeqat meiñ bas usi ne paayi hai,
Mustafa ke Kooche meiñ jis ko mawt aayi hai.

Mujhko mere Murshid ne baat ye bataayi hai,
Jo Nabi ka ho jaaye uss ki qul Khudaayi hai.

Rakhliya bharam tera Aaminah ke jaaye nai,
Naaz kar Haleema tu Mustafa ki daayi hai.

Dam laboñ pe aaya hai bhar rahi hai be-taabi,
Ae Saba Madinah se kya payaam laayi hai.

Chaar soo andhera tha zulmatoñ ka ddhera tha,
Mustafa ke aane se bazm jagmagaayi hai.

Woh Bareilly Ka Ahmad Raza Hai [Lyrics]

Ghawth e A'zam ka deewaana, Woh hai Khwaja ka Mastaana,
Jo Muhammad ﷺ pe dil se fida hai, Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai.

Dasweeñ taareekh thi maah e Shawwaal tha ghar Naqi Khan ke beta paida huwa,
Naam Ahmad Raza jiska rakha gaya, Aala Hazrat zamaane ka woh bangaya,
Woh Mujaddid e Zamaana, 'Ilm o Hikmat ka khazaana,
Jisne bachpan meiñ fatwa diya hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Jab woh paida huwa Noori saaye tale waadi e najd meiñ aagaye zalzale,
Kaise usski fazeelat ka sooraj dhaley, Jiski azmat ka sikka 'Arab meiñ chale,
Jisska khaayeiñ usska gaayeiñ, usska naa'ra hum lagaayeiñ,
Jisska Naa'ra 'Arab meiñ laga hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Jab Raza Khan ko bay'at ki khwaaish huwi, pohonche Marehra woh umr baais ki thi,
Faiz e Barkaat se aisi barkat mili, saath bay'at ke fawran khilaafat mili,
Aala Hazrat unnko tanhaa sirf meiñ hi nahiñ kehta, 
Achhe achhoñ ko kehna para hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Uss Mujaddid ne likha hai aisa Salaam, jissko kehti hai duniyah Imaam ul Kalaam,
Parh rahe haiñ Farishte jise subh-o-shaam, Mustafa Jaan e Rehmat pe laakhoñ Salaam,
Pyaara pyaara ye Salaam, kisne likha ye Kalaam,
Poochte kya ho sab ko pataa hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Maslak e Bu Hanifa ka ailaan hai, Maslak e Aala Hazrat meri shaan hai,
Jo ulajhta hai iss se woh naadaan hai, woh to insaan nahiñ balke shaitaan hai,
Bu Hanifa ne jo likha, Aala Hazrat ne bataaya
Kaun kehta hai Maslak nayaa hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Najdiyat ka khasaara Bareilly meiñ hai, Sunniyat ka sahaara Bareilly meiñ hai,
Ghawth e A'zam ka pyaara Bareilly meiñ hai, Aala Hazrat hamaara Bareilly meiñ hai,
Jisne najdi ko maara Bareilly meiñ hai, jo kisi se na haara Bareilly meiñ hai,
Ahl e Sunnat ka Imaam, Ye Raza hai usska naam
Najdiyoñ se jo tanhaa laraa hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!



Bajega Hashr Tak Danka Imam Ahmad Raza Khan Ka [Lyrics]

Bajega Hashr tak danka Imam Ahmad Raza Khan ka,
Jahaañ me bol hai baala Imam Ahmad Raza Khan ka.

Wo apne waqt ke beshak Imam e Bu Hanifa the,
Koi saani nahiñ milta Imam Ahmad Raza Khan ka.

Koi hai Hujjat-ul-Islam koi hai Mufti e A'zam,
Ye ooncha khaandaañ kiska Imam Ahmad Raza Khan ka.

Koi Taajush Shariah hai, koi Mufassir e Azam;
Ye ooncha khaandaañ kiska Imam Ahmad Raza Khan ka.

Koi Sadr-ush-Shariah hai koi Sadr-ul-Afaazil hai,
Ye faizaan e nazar kiska Imam Ahmad Raza Khan ka.

Jo Qudsi hashr me pucheñge mujhse kiska pairo tha,
Kahuñga kar ke sar ooncha Imam Ahmad Raza Khan ka.

Mera Taaj e Shariat Salaamat Rahe [Lyrics]

Meiñ rahooñ na rahooñ iss jahaañ meiñ magar, Mera Taaj e Shariat salaamat rahe,
Humne jee bhar ke dekha nahin aye Khuda, unnka dilkash nazaara salaamat rahe.

Sunniyoñ ka sahaara salaamat rahe, Peer o Murshid hamaara salaamat rahe,
Mera Taaj e Shariat salaamat rahe, Mera Taaj e Shariat salaamat rahe.

Jiska deedaar Imaan ki taazgi, Jiska deedaar Imaan ki taazgi,
Noor e Irfañ ka dhaara salaamat rahe, Mera Taaj e Shariat salaamat rahe.

Aaina hai Raza ka jo iss daur meiñ, Aaina hai Raza ka jo iss daur meiñ,
Mustafa ka woh pyaara salaamat rahe, Mera Taaj e Shariat salaamat rahe.

Jisska Saifee hai Taaj-ush-Shariah laqab, Jisska Saifee hai Taaj-ush-Shariah laqab,
Woh Raza ka sitaara salaamat rahe, Mera Taaj e Shariat salaamat rahe.

Parh Ke Salle Alaa Jo Sojaaye [Lyrics]

Parh ke Salle Alaa jo sojaaye, Khuld ki waadiyoñ meiñ khojaaye.
Khwaab meiñ gar ho deed Aaqa ki, hum ghulaamoñ ki Eid hojaaye.

Per podeñ salaam karte haiñ, jaanwar ehtaraam karte haiñ,
Mere Aaqa ke ik ishaare par, sangreze kalaam karte haiñ.

Karne sairaab waadiye hasti, behre ulfat ki mawj nikli hai,
Leke maidaañ meiñ parcham e Sunnat, Aala Hazrat ki fawj nikli hai.

Darbaar Madinah Sa Darbaar Nahiñ Milta [Lyrics]

Darbaar Madinah sa Darbaar nahiñ milta,
Sarkaar e Do Aalam sa Sarkaar nahiñ milta.

Har zarra chamakta hai Anwaar e Ilaahi se,
Taibah ka kahiñ zarra bekaar nahiñ milta.

Kyuñ log ye kehte haiñ ghamkhwaar nahiñ milta,
Taibah meiñ chalaa jaaye jise pyaar nahiñ milta.

Ae Misr ke baazaaroñ achhe ho bohot laikin,
Taibah se haseeñ koi baazaar nahiñ milta.

Noor Ke Baadal Chhaaye Huwe Hain [Lyrics]

Noor ke baadal chhaaye huwe haiñ, yaad Madinah aaya hai,
Shaayad ke Aaqa e Karam ne, yaad mujhe farmaaya hai.

Unnki ghulaami ke sadqe meiñ, Jannat milne waali hai,
Meine dil e be-taab ko aksar, ye keh kar samjhaaya hai.

Aasooñ ke qatroñ ko masal-leiñ, aasi apne chehre par,
Unnki yaad ke aasooñ ne har chehre ko chamkaaya hai.

Mujhko yaqeeñ hai Sarwar e Aalam Noor ka marham bakhshenge,
Hind se meine Shaah e 'Arab ko zakhm e jigar dikhlaaya hai.

 

Visitor's Traces

Total Page views