Ads 468x60px

Nov 24, 2018

Arz o Samaa Bane Haiñ [Lyrics]

Arz-O-Sama Banay Haiñ Issi Noor Ke Tufail
Taaray Chamak Rahay Haiñ Issi Noor Ke Tufail
Gulshan Haray Bharay Haiñ Issi Noor Ke Tufail
Dono Jahaañ Sajay Haiñ Issi Noor Ke Tufail
Iss Noor Ka Azal Se Abad Tak Hai Silsila
Ye Noor Woh Hai Jiss Ka Tarafdaar Hai Khuda

Aaya Hai Raah-e-Raast Dikhaanay Ke Waastay
Bandoñ Ko Unke Rab Se Milaanay Ke Waastay
Bunyaad Butkadoon Ki Giraanay Ke Waastay
Rasm-O-Riwaaj e Kufr Mitaanay Ke Waastay
Insaañ Ko Bandagi Ka Saleeqa Sikhaye Ga
Ye Noor Zulmatoon Ko Ujaalay Banaye Ga

Laya Hai Apne Saath Masaawat Ka Nizaam
Uski Nazar Meiñ Ek Haiñ Aaqa Ho Ya Ghulam
She’wa Hai Iska Lutf Mohabbat Hai Iska Kaam
Badlega Zulm o Jor Ke Andaaz Ye Tamaam
Logoñ Ke Dil Se Zang e Kadurat Chhuraayega
Dukhtar Kushi Ki Rasm Jahaañ Se Mitaayega

Guftaar Laajawaab Hai Kirdaar Bay Nazeer
Haami Sitam Zadoñ Ka Yateemoñ Ka Dastageer
Halqa Bagosh Iske Haiñ Kya Shaah Kya Faqeer
Insaan Reh Sakay Ga Na Insaan Ka Aseer
Bhookha Rahega Khud Woh Jahaañ Ko Khilaayega
Yeha Apnay Dushmano Ko Galay Se Lagayega

Paighaam-e-Haq Ye Saaray Jahan Ko Sunaayega
Keena Zadoñ Ko Rashk-e-Gulistan Banaayega
Har Gaam Rehmatoñ Ke Khazaanay Lutaayega
Insaan Ko Ye Dars-e-Ukhuwat Sikhayega
Dega Kuch Iss Adaa Se Ye Peghaam-e-Dosti
Zehno Se Door Kardega Sadiyoñ Ki Dushmani

Yeh Saahib-e-Jamaal Hai Ye Saahib-e-Kamaal
Khush Dil Hai Khush Pasand Khush Khulq Khush Khisaal
Khallaaq-e-Do Jahaañ Ki Hai Takhleeq-e-Bay Misaal
Mumkin Nahiñ Hai Isko Kissi Dor Mein Zawaal
Roshan Karega Rushd o Hidayat Ke Woh Diye
Bun Jaayeingay Sabaq Jou Har Ek Dor Ke Liye

Is Noor Ke Nisaar Muhammad Hai Iska Naam
Iska Payaam Khaaliq e Akbar Ka Hai Payaam
Sardaar-e-Kaainaat Hai Nabiyoñ Ka Hai Imaam
Ta’reef Se Buland Hai Is Noor Ka Maqaam
Aaya Hai Na Aur Na Aayega Is Shaan Ka Nabi
Duniyah Me Bhi Azeez Hai Uqba Meiñ Bhi Wali

Beshak Yehi Hai Baayiss-e-Takhleeq-e-Kaainaat
Chamkayga Iske Husn Se Har Goshaa-e-Hayaat
Raasikh Hai Iska Qol Tou Sachi Hai Har Ek Baat
Dil Meiñ Hai Iske Rehm Nazar Mein Iltifaat
Uske Karam Ki Had Hai Na Koi Hisaab Hai
Jiss Par Nigaah Daal De Woh Aaftaab Hai

Yaseen Yahi Hai Sayyed o Mahmood Hai Yahi
Twaaha Yahi Hai Shaahid o Mash-hood Hai Yahi
Kaamil Yahi Hai Taahir o Mas’ood Hai Yahi
Bhejo Durood Marziye Ma’bood Hai Yahi
Saadiq Hai Ye Ameeñ Hai Khuda Ka Khaleel Hai
Aaina Daar e Jalwaa e Rabb e Jaleel Hai

Aaya Hai Muflisoñ Ki Himaayat Liye Huay
Mazloom-O-Bekasoñ Ki Mohabbat Liye Huay
Hum Aasiyoñ Ke Haq Meiñ Shafaa’at Liye Huay
Saaray Jahaan Ke Liye Rehmat Liye Huay
Hoga Isi Zaat Par Qur’an Ka Nuzool
Woh Aakhri Kitaab Hai Ye Aakhri Rasool


 

Visitor's Traces

Total Page views