Nazar Pe Kisi Ki Nazar Ho Rahi Hai,
Meri Chashm Kaane Gohar Ho Rahi Hai.
Mere Khufiyah Naaloñ Ko Who Sun Rahe Haiñ,
‘Inaayat Kisi Ki Idhar Ho Rahi Hai.
Who Taiba Meiñ Mujhko Talab Kar Raheiñ Haiñ,
Talab Meri Ab Mu’tabar Ho Rahi Hai.
Huwa Taalib E Taiba Matloob E Taiba,
Talab Teri Ae Muntazir Ho Rahi Hai.
Madine Meiñ Hooñ Aur Pichla Peher Hai,
Shab e Zindagi Ki Sahar Ho Rahi Hai.
Nayi Zindagi Ki Woh Me De Rahe Haiñ,
Meri Zindagaani Amar Ho Rahi Hai.
Madine Se Meri Balaa Jaaye AKHTAR,
Meri Zindagi Waqf e Dar Ho Rahi Hai.