Ads 468x60px

Nov 25, 2011

Jumma Mubarak...

Ya Rab !


Mujhe Wo Taqat Na Day Jis Se

Main Dosrun Ko Kamzoor Krun,

Mujhe Wo Dolat Na Day Jis Ki


Khatir Main Dosrun Ko Garib Krdun,Mujhe Wo Ilm Na Day Jise MainApne Sine Main Chupa Kar Rakhun,Mujhe Wo Bolandi Na Day KMujhe Pasti Main Kuch Nazar Na Aye,Mujhe Wo Sab Kuch Day JoMain Dosrun Main Baant Sakun


Aur Sab K Brabar Ho Jaun... 


Aameen.


<!*!> JUMMA MUBARAK <!*!> 

Nov 21, 2011

Chalo Diyaar-e-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar


Chalo diyaar-e-Nabi ki Jaanib Durood Lab par Saja Saja kar,
Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar.
~ ~

Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii,
Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar.
~ ~

Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei,
Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar.
~ ~

Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna,
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar.
~ ~

Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri,
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar.
~ ~
Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein,
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar.
~ ~

Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein KHALID,
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar.

~~ Sall-Allahu Alaihi Wa Sallam ~~
 

Visitor's Traces

Total Page views