Chalo diyaar-e-Nabi ki Jaanib Durood Lab par Saja Saja kar,
Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar.
~ ~
Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii,
Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar.
~ ~
Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei,
Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar.
~ ~
Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna,
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar.
~ ~
Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri,
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar.
~ ~
Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein,
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar.
~ ~
Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein KHALID,
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar.
~~ Sall-Allahu Alaihi Wa Sallam ~~
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...