Behr e deedaar mushtaaq hai har nazar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Chaandni raat hai aur pichla pahar
Dono aalam ke Sarkaar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye.
Sidra tul Muntaha Arsh o Baagh e Iram
Har jagah par chuke hain nishane qadam
Ab to ik baar apne ghulamo ke ghar
Dono aalam ke Sarkaar ajaiye
Ab to aajaaiye ab to aajaaiye.
Mere gulshan ko ik baar mehkaiye
Apne jalwo ki baarish me nahalaiye
Deeda e Shauk ko kijiye paarwar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.
Saamne jalwagar Paikar e Noor ho
Munkiro ka bi Sarkaar shak door ho
Karke tabdeel ik din Libaas e Bashar
Dono aalam ke Sarkar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.
Shaam e umeed ka ab sawera huwa
Soo e Taibah nigaaho me dera huwa
Bichh gaye raah me farsh Qalb o Jjigar
Dono aalam ke Sarkaar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.
Aakhri waqt hai ek bimaar ka
Dil machal ne laga shoke deedar ka
Buj na jaaye kahin ye charaag e sahar
Dono aalam ke Sarkaar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.
Shaam e ghurbat hai aur sheher khamosh hai
Eik Arhsad akela kafan posh hai
Khauf ki hai ghari waqt hai pur-khatar
Dono aalam ke Sarkaar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.