Aap Se Kuch
Arz Ke Qaabil Kahaañ
Mujh Se Naalaayiq Ki Ye Kaj-Maj Zabaañ
Phir Bhi
Apne Lutf Se Mera Bayaañ
Sun Hi Lijiye Ae Mere Qutb e Zamaañ
Ho Idhar
Chashm e Karam Peeraan e Peer
Aastaane Par Kharaa Hai Ik Faqeer
Waasta
Hasanain Ka Sun Lijiye
Mushkileiñ Aasaan Meri Kijiye
Aap Ko
Mawla ‘Ali Ki Hai Qasam
Door Kardije Mere Ranj o Alam
Kis Se
Maanguñ Haath Phailaauñ Kahaañ
Aap Ke Dar Ke Siwa Jaauñ Kahaañ
Daaman e
Maqsad Mera Bhar Dijiye
Aaj To Meri Khushi Kardijiye
Kaash Ho
Jaaye Mera Aisa Naseeb
Aap Bulwaayeiñ Mujhe Apne Qareeb
Aur Phir
Karleiñ Mujhe Apna Ghulaam
Khidmateiñ Leiñ Mujh Se Apni Subh o Shaam
Zindagi
Meri Yooñ Hi Jaaye Guzar
Aap Ki Chokhat Pe Hi Rakha Ho Sar
Khaatma Ho
Aap Ki Hi Yaad Meiñ
Ba’d e Murdan Ho Lahad Baghdad Meiñ
Kya Bataauñ
Apne Dil Ka Haal Meiñ
Phansgaya Hooñ Meiñ Bare Janjaal Meiñ
Shaah e
Jeelaañ Waqt Hai Imdaad Ka
Dar Pe Aaya Hooñ Laga Kar Aasraa
Qutb e
Dawraañ Ab Madad Ka Waqt Hai
Bakht Bargashta Hai, Manzil Sakht Hai
Al Madad Ya
Ghawth e A’zam Al Madad
Al Madad Ya Qutb e Akram Al Madad
Har Tarah
Gheyre Haiñ Ashraar o Shuroor
Door Farmaadeiñ Inheiñ Ab To Huzoor
Nargha e A’daa
Meiñ Haiñ Ahl e Sunan
Door Kijiye Un Se Sab Ahl e Fitan
- - -
Penned by: Huzoor Ahsan ul Ulama Alaihirrahmah