Phir kyuñ tarap raha hai deewaana Ghawth ka
Nisbat ki kar hifaazat mawt aaye ban ke rehmat,
Bin towbah nah marega deewaana Ghawth ka
Noori Raza o Haamid Akhtar Ziya ko dekh,
Ye sab chamak rahe haiñ hai chamkaana Ghawth ka
Tanha woh kutta sheroñ pe bhari dikhaayi de,
Ik baar jis ne khaaliya hai khaana Ghawth ka
Sarkaar dushmanoñ meiñ use kaise chhordeiñ,
Jo naam le raha hai rozana Ghawth ka
Boleñge dekh kar ke sipaahi ye Hashr meiñ,
Chhero na iss ko ye hai mastaana Ghawth ka
Ye ik corona kya hai hazaaroñ bhi hoñ agar,
Apne liye hai kaafi shifa khana Ghawth ka
Arif Raza ne aisa pilaaya hai jaam e Ghawth,
Duniya pulaar utthi hai deewaana Ghawth ka
Listen: https://youtu.be/i2oYzXQ1b9s