Ads 468x60px

Nov 1, 2016

Ahmad Raza Ka Taaza Gulistaan Hai Aaj Bhi

Manqabat of Shaykh a- Islam Imam Ahmad Rida Khan Muhaddith e Bareilly Shareef Alaihir Rahma 

Ahmad Raza ka taaza gulistaan hai aaj bhi 
Khursheed ‘ilm un ka darakhshaan hai aaj bhi 

‘arsah hua woh mard e mujaahid chalaa gayaa
sunniyon main aik sozish e pinhaan hai aaj bhi 

imaan paa rahaa hai halaawat ki naematein
aur kufr tere naam se larzaan hai aaj bhi

kis tarah itne ‘ilm ke daryaa bahaa deyee
‘ulamaa e haq ki ‘aql to hayraan hai aaj bhi

maghmum ahl e ‘ilm nah hon kyun tere liye
jab ‘ilm khud hi sar bagareeban hai aaj bhi

sab unke jalne walon ke ghu ho gaye chiraagh
Ahmad Raza ki sham’a farozaan hai aaj bhi

‘ishq e Habib e Paak mein dubaa hua kalaam
sarmaayah nishaat sukhandaan hai aaj bhi

(sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)

bhar di diloun mein ulfat o ‘azmat Rasul ki
jo makhzan e halaawat e imaan hai aaj bhi

(sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)

tum kya gaye ke rawnaq e mehfil chali gayei
sh’er o adab ki zulf e pareshaan hai aaj bhi

‘aalim ki mawt kehte hain ‘aalam ki mawt hai
apne kiye peh mawt pasheeman hai aaj bhi

wabastagaan kyun hon pareeshaan un peh jab
lutf o karam unka damaan hai aaj bhi

lillah apne faiz se ab kaam lejiye 
fitnoun ke sar uthaane kaa imkaan hai aaj bhi

Taibah main us ki zaat salaamat rahe keh jo
teri amaanatoun kaa nighehbaan hai aaj bhi

Mirza sare niyaaz jhukaataa hai is liyee
‘ilm o ‘amal peh aap ka ihsaan hai aaj bhi

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views