Nazar meiñ Ghumbad e Khazra ki pyaas aaj bhi hai,
Madinah dekhne waala udaas aaj bhi hai
Gunaahgaar ko Aaqa bulaalo Taibah meiñ,
Zabaan e Ishq pe ye iltimaas aaj bhi hai
Ajeeb rooh ka rishta hai shehr e Taibah se,
Hai jism Hind me Dil unnke paas aaj bhi hai
Hamaari fikr ke sehra meiñ Na'at ke sadqe,
Ke taaza taaza ummeedoñ ki dhaas aaj bhi hai
Meiñ Unnse door sahih woh mere qareeb to haiñ,
Nabi ka Dast e Karam aas paas aaj bhi hai
Meiñ Unnse door sahih woh mere qareeb to haiñ,
Nabi ka Dast e Karam aas paas aaj bhi hai
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...