Haami e Sunnat Maahi e Biddat mere Taaj e Shariat haiñ,
Chashm o charaagh e Aala Hazrat mere Taaj e Shariat haiñ.
Ilm o amal ka behta darya arb o ajam tak jo pohncha,
Kis ko mili ye shaan o azmat mere Taaj e Shariat haiñ.
Mufit e A'zam ke haiñ dulhaare, Sayyad Marehra ke pyaare,
Naaza jin par Ahl e Sunnat mere Taaj e Shariat haiñ.
Chehra hai nooraani dekho faiz o karam irfaani dekho,
Noori noori jinki shabaahat mere Taaj e Shariat haiñ.
Dekho jinki soorat pyaari dil se zikr e Khuda hai jaari,
Qutb e jahaañ Sarkaar e wilaayat mere Taaj e Shariat haiñ.
Ghawth o Khwaja, Shaah Barkat, Mufti e A'zam, Aala Hazrat,
Ki ye chalti phhirti Karaamat mere Taaj e Shariat haiñ.
Abdul Qadir Jeelaani ka aur Nabi laasaani ka,
Jin ke sar pe taaj e inaayat mere Taaj e Shariat haiñ.
Yaa Rab inka faiz qaayim hum mangtoñ pe rahe daayim,
Qaazi e Millat, Peer e Tareeqat mere Taaj e Shariat haiñ.
Sayyad e Khastaa tera suwaali bhardo jholi Murshid e Aali,
Isski sarwat isski dolat mere Taaj e Shariat haiñ.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...