Noor-e-Ahmad Ki Ziya He Maslake Ahmad Raza
Sham'e-Deen-E-Mustafa He Maslake Ahmad Raza
Log Kehte Hain Ke Kya He? Maslake Ahmad Raza
Maslake Ahmad Raza He Maslake Ahmad Raza
Mazhab-E-Hanafi Ho Ya Ho Mashrab-E-Ghawth-o-'Ali
Hum Talak Pohoncha Raha He Maslake Ahmad Raza
Rab Ko Maano Aur Habeeb-e-Rab Se Tum Ulfat Karo
Haan Yahi To Keh Raha He Maslake Ahmad Raza
Yeh Sikhata He Shariat Aur Tareeqat Ke Usool
Deen-o-Imaan Ki Jila He Maslake Ahmad Raza
Fi Zamaana Sunniyat Ki Bus Yahi Pehchan He
Sikka Raayej-ul-Waqt Ka He Maslake Ahmad Raza
Poori Sunni Duniya Mein Sachche Aqeede Ke Liye
Ibtida Aur Intiha He Maslake Ahmad Raza
Alahazrat Ka Yeh Ahsa’n Hum Musalmano Pe He
Ishq-E-Ahmad De Raha He Maslake Ahmad Raza
Naam Ke “Sayyid” Jo Jalte Hen Raza Ke Nam Se
Unke Dil Mein Chubh Raha He Maslake Ahmad Raza
Saamna Hota He Jab Bhi Dushmanan-e-Deen Se
Ddhaal Banker Aa Gaya He Maslake Ahmad Raza
Murshid-E-Marehra Ne Nisbat Raza Ko Aisi Di
Sharh-e-Deen-e-Haq Bana He Maslake Ahmad Raza
NAZMI Tumko Kyun Na Barkaati Raza Par Naaz Ho
Tum Ne Ghutti Mein Piya He Maslake Ahmad Raza
Jazakkallah Islamic Poetry
ReplyDelete