Tum Se Jo Guraizaañ Hai Farzaanah Woh Weeranaah
Shaida Jo Huwa Tum Par Weeraanah Woh Farzaanah
Aajaa Dil E Weeraañ Meiñ Tera Ho Ye Kaashaanah
Lillah Karam Farmaa Aye Jalwa E Jaanaanah
Aankhoñ Se Pilaa Woh Mai Sarmast Rahooñ Jis Se
Bharde Mera Paimaanah Aye Saaqi E Maikhaanah
Woh Abr E Bahaar Aaya Har Shai Pe Nikhaar Aayaa
Laa Jald Mere Saaqi De Saaghar O Paymaanah
Kya Raat Ke Parde Se Chupke Se Sahar Nikli
Yaa Jaan E Dil E Aaraane Zulfoñ Meiñ Kiya Shaanah
Badkaar Sahih Laikin Bandah Hooñ Tere Dar Kaa
Mehroom Nah Rakh Mujhko Ae Shaan E Kareemaanah
Yooñ Thaam Ke Daaman Ko Machlaa Hai Sar E Mehshar
Dekhe Koi AKHTAR Kaa Yeh Naaz E Ghulaamanah
- - -
Penned by Huzoor Taaj ush Shariah Alaihirrahmah