Noor E Mustafai Se Qalb Jagmagaayeñge
Rehmatoñ ki baarish meiñ har ghari nahaayeñge
Aamad E Risaalat Par Eid Ham Manaayeñge
Jalne Waale Jatle Haiñ Aur Ham Jalaayeñge
Mustafa Nahiñ Bhoole Jab Humeiñ Wilaadat Par
Ham Wilaadat E Aaqa Kaise Bhool Jaayeñge
Jo Ddubone Aayega Khud Hi Ddoob Jaayega
Ham Ghulaam E Ahmad Haiñ Ddoobne Nah Paayeñge
Jo Bhi Jis Ka Khaata Hai Uss Ke Geet Gaata Hai
Ham Bhi Jis Ka Khaate Haiñ Uss Ke Geet Gaayeñge
Jab Talak Hai Dam Apna Jab Talak Ye Saanse Haiñ
Mehfileñ Sajaayeñge Jashn Bhi Manaayeñge
Jibraeel Ne Jhandde Lagaaye The Wilaadat Par
Iss Liye To Ham Jhadnde Lagaate Haiñ Lagaayeñge
Jo Nabi Ke Dushman Se Meil-Jhol Rakhega
Khuld Ki Mehek Bhi Woh Ba Khuda Nah Paayeñge
Khushaqeeda Khush Hoga Badaqeeda Royega
Naaraa Pyaare Aaqa Ka Sunni Jab Lagaayeñge
Jis Nabi Ke Sadqe Meiñ Rab Mila Hameiñ AARIF
Dhikr Uss Nabi Ka Ham Sunte Haiñ Sunaayeñge
- - -
Penned by Mawlana Arif Barkaati, Malawi
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...