Ads 468x60px

Jul 28, 2018

Rahmat Ka Dar Khula Hai Darbaar e Mustafa Meiñ

Rahmat ka Dar khula hai Darbaar e Mustafa meiñ,
Bin maange mil raha hai Darbaar e Mustafa meiñ.

Aadaab ka taaqaza jumbish na ho badan meiñ,
Dil wajd kar raha hai Darbaar e Mustafa meiñ.

Seene pe haath rakh kar meiñ dil ko ddhoondta hooñ,
Dil mujh ko ddhoondta hai Darbaar e Mustafa meiñ.

Marne ke baad mere pooche koi to kehne,
Woh Na'at parh raha hai Darbaar e Mustafa meiñ.

Aañsoo jo beh rahe haiñ sab haal keh rahe haiñ,
Lab kaun kholta hai Darbaar e Mustafa meiñ.

Khushboo Adeeb teri Na'atoñ meiñ aa rahi hai,
Ik baar kya gaya hai Darbaar e Mustafa meiñ.

Jun 7, 2018

Tera Darbaar Mufti e Azam [Lyrics]

Tera Darbaar Mufti e A'zam,
Hai pur-anwaar Mufti e A'zam.

Tera deedaar hai dawa meri,
Mein hooñ beemar Mufti e A'zam.

Kasrat e gham ka kyuñ ho gham mujh ko,
Jab haiñ ghamkhwaar Mufti e A'zam.

Ghawth e A’zam ka waasta sun lo,
Sun lo Sarkaar Mufti e A'zam.

Tooti kashti pe toota toofaan,
Kijiye paar Mufti e A’zam.

Sunniyoñ mat daro la’eeno se,
Haiñ madadgaar Mufti e A’zam.

Le ke aaye haiñ hum saee daaman,
Bhar do Sarkaar Mufti e A'zam.

Aap ke dar se ho ke jayenge,
Hum bhi Sarkaar Mufti e A'zam.

Ab zamaana kaha se layega,
Tum sa Dildaar Mufti e A'zam.

Phir zamane ko chahiye tumsa,
Ek me'waar Mufti e A'zam.

Apni sham'e Wila se chamkaaya,
Saara sansaar Mufti e A'zam.

Naadim e be-hunar se mad-ha teri,
Kab ho Sarkaar Mufti e A'zam.

Apne Zaahid ko kab dikhaoge,
Apna Darbaar Mufti e A'zam.

Zindagi Haqeeqat Meiñ Bas Usi Ne Paayi Hai [Lyrics]

Zindagi haqeeqat meiñ bas usi ne paayi hai,
Mustafa ke Kooche meiñ jis ko mawt aayi hai.

Mujhko mere Murshid ne baat ye bataayi hai,
Jo Nabi ka ho jaaye uss ki qul Khudaayi hai.

Rakhliya bharam tera Aaminah ke jaaye nai,
Naaz kar Haleema tu Mustafa ki daayi hai.

Dam laboñ pe aaya hai bhar rahi hai be-taabi,
Ae Saba Madinah se kya payaam laayi hai.

Chaar soo andhera tha zulmatoñ ka ddhera tha,
Mustafa ke aane se bazm jagmagaayi hai.

Woh Bareilly Ka Ahmad Raza Hai [Lyrics]

Ghawth e A'zam ka deewaana, Woh hai Khwaja ka Mastaana,
Jo Muhammad ﷺ pe dil se fida hai, Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai.

Dasweeñ taareekh thi maah e Shawwaal tha ghar Naqi Khan ke beta paida huwa,
Naam Ahmad Raza jiska rakha gaya, Aala Hazrat zamaane ka woh bangaya,
Woh Mujaddid e Zamaana, 'Ilm o Hikmat ka khazaana,
Jisne bachpan meiñ fatwa diya hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Jab woh paida huwa Noori saaye tale waadi e najd meiñ aagaye zalzale,
Kaise usski fazeelat ka sooraj dhaley, Jiski azmat ka sikka 'Arab meiñ chale,
Jisska khaayeiñ usska gaayeiñ, usska naa'ra hum lagaayeiñ,
Jisska Naa'ra 'Arab meiñ laga hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Jab Raza Khan ko bay'at ki khwaaish huwi, pohonche Marehra woh umr baais ki thi,
Faiz e Barkaat se aisi barkat mili, saath bay'at ke fawran khilaafat mili,
Aala Hazrat unnko tanhaa sirf meiñ hi nahiñ kehta, 
Achhe achhoñ ko kehna para hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Uss Mujaddid ne likha hai aisa Salaam, jissko kehti hai duniyah Imaam ul Kalaam,
Parh rahe haiñ Farishte jise subh-o-shaam, Mustafa Jaan e Rehmat pe laakhoñ Salaam,
Pyaara pyaara ye Salaam, kisne likha ye Kalaam,
Poochte kya ho sab ko pataa hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Maslak e Bu Hanifa ka ailaan hai, Maslak e Aala Hazrat meri shaan hai,
Jo ulajhta hai iss se woh naadaan hai, woh to insaan nahiñ balke shaitaan hai,
Bu Hanifa ne jo likha, Aala Hazrat ne bataaya
Kaun kehta hai Maslak nayaa hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!

Najdiyat ka khasaara Bareilly meiñ hai, Sunniyat ka sahaara Bareilly meiñ hai,
Ghawth e A'zam ka pyaara Bareilly meiñ hai, Aala Hazrat hamaara Bareilly meiñ hai,
Jisne najdi ko maara Bareilly meiñ hai, jo kisi se na haara Bareilly meiñ hai,
Ahl e Sunnat ka Imaam, Ye Raza hai usska naam
Najdiyoñ se jo tanhaa laraa hai! Woh Bareilly ka Ahmad Raza hai!



Bajega Hashr Tak Danka Imam Ahmad Raza Khan Ka [Lyrics]

Bajega Hashr tak danka Imam Ahmad Raza Khan ka,
Jahaañ me bol hai baala Imam Ahmad Raza Khan ka.

Wo apne waqt ke beshak Imam e Bu Hanifa the,
Koi saani nahiñ milta Imam Ahmad Raza Khan ka.

Koi hai Hujjat-ul-Islam koi hai Mufti e A'zam,
Ye ooncha khaandaañ kiska Imam Ahmad Raza Khan ka.

Koi Taajush Shariah hai, koi Mufassir e Azam;
Ye ooncha khaandaañ kiska Imam Ahmad Raza Khan ka.

Koi Sadr-ush-Shariah hai koi Sadr-ul-Afaazil hai,
Ye faizaan e nazar kiska Imam Ahmad Raza Khan ka.

Jo Qudsi hashr me pucheñge mujhse kiska pairo tha,
Kahuñga kar ke sar ooncha Imam Ahmad Raza Khan ka.
 

Visitor's Traces

Total Page views