"JIS SE ALLAH KE FARISHTEY HAYA KERTEY HAIN, MEIN US SE HAYA KYUN NA KARUN", SAYING OF OUR PROPHET MUHAMMAD (Peace and Blessings be upon Him), PRAISE FOR USMAN GHANI (Radhi Allahu Ta'ala Anhu)
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Hazrat Usman Ghani
(Radhi Allahu Ta'ala Anhu) - Allah se Kya Pyaar he Poetry:
Allah se kya pyaar he, Usman Ghani ka,
Mehboob e Khuda yaar he, Usman Ghani ka
Rangin woh rukhsaar he, Usman Ghani ka
Bulbul gule gulzaar he, Usman Ghani ka
Garmi pe ye baazaar he, Usman Ghani ka
Allah kharidaar he, Usman Ghani ka
Dil sokhto himmat jigar, ab hote hein thande
Woh saaya e diwaar he, Usman Ghani ka
Jo dil ko ziya de, jo muqaddar ko jila de
Woh jalwa e deedar he, Usman Ghani ka
Jis aaine mein, noore Ilaahi nazar aaye
Woh aaina rukhsaar he, Usman Ghani ka
Beemar he jis ko nahin, aazare muhabbat
Achcha he jo beemar he, Usman Ghani ka
Allaho ghani hadd nahin, inaamon ata ki
Woh faiz pe darbaar he, Usman Ghani ka
Ruk jaayen mere kaam Hassan, ho nahin sakta
Faizaan madadgaar he, Usman Ghani ka
Subhanallah...
ReplyDeleteAllahu Akbar..