4 Admiyo Ne Hazrat Ali (Karam Allahu Ta'ala Wajhahul Kareem) Se 1 Sawal Pucha Aur Kaha Ke Hum Sab Ko Alag Alag Jawab Dein.
Sawal: Ilm Behtar Hai Ya Daulat??
Aap (Karam Allahu Ta'ala Wajhahul Kareem) Ne Jawab Diya:-
1 : Ilm Behtar Hai Kyun Ki Maal
Kharch Karne Se Ghat’ta Hai
Aur
Ilm Kharch Karne Se Badhta
Hai…
2 :Ilm Behtar Hai Kyunki Maal Ki
Tum Hifazat Karte Ho
Aur Ilm Tumhari Hifazat Karta
Hai…
3 : Ilm Behtar Hai Kyun Ki Ilm
Wale Ke Dost Zyada Aur
Maal Wale Ke Dushman Zyada
Hote Hein…
4 : Ilm Behtar Hai Kyunki Ilm
Nabiyo Ka Wirsat Hai Aur
Maal Fir’on, Namrud, Qaroon Ki
Wirsat Hai…
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...