Hamaray Aaqa Hamaray Moula Imam E Azam Abu Hanifa
Hamaray Muljaa Hamaray Maa'wa Imam E Azam Abu Hanifa
Tum Hi Ko Maana, Tum Hi Ko Jana, Tumhi Tou Sub K Imam Thehray
Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa
Zamanay Bhar Ne Zamanay Bhar Mein Bohat Tajassus Kia Hay Lekin
Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa
Tumharay Aagay Tamam Aalam Na Kiun Karay Zaano E Adab Kham
Kay Peshwayaan-e-deen-e-baala Imam E Azam Abu Hanifa
Na Kiun Karain Naaz Ahlesunnat Kay Tum Se Chamka Naseeb-e-ummat
Siraj E Ummat Mila Ho Tumsa Imam E Aazam Abu Hanifa
Hua Uloo Al-amr Se Ye Sabit Kay Teri Taa'at Zaroor Wajib
Khuda Ne Tum Ko Kia Hamra Imam E Azam Abu Hanifa
Siraaj Tu Hay Baghair Teray Jo Koi Samajhe Hadees O Quraan
Phiray Batakhta Na Paaey Rasta Imam E Azam Abu Hanifa
Jo Teri Taqleed Shirk Hoti, Muhaddiseen Saaray Hotay Mushrik
Bukhaari-o-muslim Ibn Majah Imam E Azam Abu Hanifa
Ye Jitnay Fuqaha Muhaddiseen Hain, Tmharay Khirman Se Khosha Cheen Hain
Wo Wastay Se Ye Bay Waseela Imam E Azam Abu Hanifa
Khabar Le Ae Dastageer E Ummat Hay Saaiq E Be Khabar Pe Shiddat
Wo Tera Ho Kar Phiray Bathakta? Imame Azam Abu Hanifa
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...