Shuja'at Naaz Karti Hay, Jalalat Naaz Karti Hay;
Woh Sultan-e-Zamaa(n) Hain, Unn Pe Shaukat Naaz Karti Hay.
Sadaqat Naaz Karti Hay, Amanat Naaz Karti Hay;
Hamiyyat Naaz Karti Hay, Murawwat Naaz Karti Hay.
Shah-e-Khoobaa(n) Pe Har Khoobi o Khaslat Naaz Karti Hay;
Kareem Aisay Hain Woh, Unn Par Karaamat Naaz Karti Hay.
Jahaan-e-Husn Mein Bhi Kuch Niraali Shaan Hai Unn Ki;
Nabi Ke Gul Pe Gulzaaro(n) Ki Zeenat Naaz Karti Hay.
Shehanshah-e-Shaheedaa(n) Ho, Anokhi Shaan Walay Ho;
HUSSAIN IBN-E-ALI, Tum Par Shahadat Naaz Karti Hay.
Bithaa Kar Shaana-e-Aqdas Pe Kar di Shaan Do-Baala;
Nabi Kai Laadlo(n) Par Har Fazeelat Naaz Karti Hay.
Jabeen-e-Naaz Unn Ki Jalwa Gaah-e-Husn Hay Kis Ki;
Rukh-e-Zayba Pe Hazrat Ki Malaahat Naaz Karti Hay.
Nigaah-e-Naaz Se Naqsha Badal Detay Hain Aalam Ka;
Adaa-e-Sarwar-e-Khoobaa(n) Pe Nudrat Naaz Karti Hay.
Fidaaee Hun Tou Kis Ka Hun, Koi Dekhay Meri Qismat;
Qadam Par Jis Haseen Ki Jaan-e-Tal'at Naaz Karti Hay.
Khuda Ke Fazl Se Akhtar, Mein Unn Kaa Naam Lewaa Hun;
Mein Hun Qismat Pe Naazaa(n), Mujh Pe Qismat Naaz Karti Hay.
(Radi Allahu Anhu wa Ardah)
- - -
Penned by:
Huzoor Taaj-ush-Shariah, Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...