Aankheiñ haiñ Jalwa Khana -e- Mehboob -e- Elahi
Dil Kyuñ na ho Diwana -e- Mehboob -e- Elahi !
Wa’aiz teri Jannat Ki Qasam dekh to Jakar
Firdaus hai Maikhana -e- Mehboob -e- Elahi !
Roshan hai Mujhpe Mere Jine Ki Haqeeqat
Har Saa’ns hai Afsana -e-Mehboob -e- Elahi !
Haqqa Ke hai Ek A’aina -e- Anwaar -e- Do Aalam
Ek Jalwa -e- Mastana -e- Mehboob -e- Elahi !
Vo Ehed -e- Khizañ Ho Ke Bahara Ho Ba Har Rang
Waa hai Dar -e- Maikhana -e- Mehboob -e- Elahi !
Gulshan Ko Agar Deeda -e- Zahir Se Na Dekho
Har Phool Hai Paimana -e- Mehboob-e- Elahi !
Dolat hai Nigaho Me Magar Paa Nahi Sakta
Bad’Bakht hai Baigana -e- Mehboob -e- Elahi !
Jab Fart -e- Aqeedat Se ‘Shakeel’ Aankh utthaayi
Tha Saamne Ka’ashana -e- Mehboob -e- Elahi !
Az Kalam: Shakeel Badayuni Sahab

0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...