Soz e dil chaahiye, chashm e nam chaahiye, aur shawq e talab mo'tabar chaahiye,
Ho mayassar Madeene ki galiyaañ agar, aankh kaafi nahiñ hai, nazar chaahiye.
Unn ki mehfil ke aadaab kuch aur haiñ, lab kushaayi ki jurr'at munaasib nahiñ,
Unn ki Sarkaar meiñ iltijaa ke liye jumbish e lab nahiñ chashm e tar chaahiye!
Apni roodaad e gham meiñ sunaauñ kise? Mere dukh ko koi aur samjhega kya?
Jis ki Khaak e Qadam bhi hai Khaak e Shifaa, Mere zakhmoñ ko woh chaarahgar chaahiye.
Meiñ gadaa e Dar e Shaah e Kaunain hooñ, sheesh mehloñ ki mujh ko tamanna nahiñ,
Ho Mayassar zameeñ par ke zer e zameeñ, mujhko Taybah meiñ ik apna ghar chaahiye.
In naye raastoñ ki nayi roshni hum ko raas aayi hai aur nah raas aayegi,
Hum ko khoyi huwi roshni chaahiye, humko aayin e Khair ul Bashar chaahiye.
Mid-hat e Shaah e kaun o makaañ ke liye, sirf lafz o bayaañ ka sahaara na lo,
Fann e She'ri hai #Iqbal apni jagah, Na'at kehne ko khoon e jigar chaahiye.
~ Iqbal Azeem Sahib.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...