Mar 12, 2013
Ilm e Gaib...
»»► Wahaabiyon Ka Quran Hadees Ka Padhna Bhi HUZOOR sallallahu alaihi wasallam Ki Dushmani Me
Hota Hai,
Warna ILM e GAIB Ka Saboot To Quran O Hadees Me Maujood Hai Inkaar Na
Karte.
====================================
»»► HUZOOR sallallahu alaihi wasallam Ne Farmaya Khuda Ki Qasam Tumhara Ruku Or Khushu Mujhse Chhupa Nahi,Main Peeth Ke Peeche Bhi Dekhta Hun.
>BUKHARI Vol-1,Page-99
====================================
»»► HADEES:
HUZOOR sallallahu alaihi wasallam Ne Ek Martaba MAKHLOOQ Ki Paidaaish Se Jannatiyon Ki Manzil aur
Jahannamiyon Ka Thikana Tak Bata Diye.
>BUKHARI Vol-1,Page-453
====================================
»»► ILM E GAIB QURAN SE:
GAIB Ka Jaan'ne Wala(ALLAH) To Apne GAIB Par Kisi Ko Musallat Nahi
Karta Siwaaye Apne Pasandida Rasoolon ke.
>P-29 R-12 A-26
====================================
»»► QURAN KI DALEEL HUZOOR sallallahu alaihi wasallam Ke ILMeGAIB Par:
Aur Ye NABI GAIB Bataane Me Bakheel (kanjoos) Nahi.
>=Para-30,SuraT akwir,Ayat-24=>
ILM Hai TABHI TO KANJOOS NaHI
====================================
»»► ILME GAIB KI QURAN SE DALEEL:
Aur TUMHE (HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ko) Sikha Diya Jo TUM nahi Jaante The.
Is Aayat Se Ilme Gaib Saabit Hua
====================================
»»► HUZOOR sallallahu alaihi wasallam Par Tamaam MAKHLOOQ Hazrat
Aadam Se Qayaamat Tak Pesh Ki Gayi Aap Ne Un Sab Ko Pehchan Liya.
>Nasimur Riyaz Page-158
===================================
»»► QURAN:
Aur ALLAH Ki Ye Shaan Nahi, Aye Aam Logon Tumhe Gaib Ka ILM De, Haan WOH
Chun Leta Apne Rasoolon Me Se Jise Chaahe.
>Para:4 R:9 Aayat:179
===================================
»»► Hazrat e Anas (Radiallaho Anho) farmaate Hain:
Ek Din HUZOOR (Salallahu Alahi Wasalam) Ne Namaz Padhaayi Jab Padh chuke, Hamaari Taraf Mutawajja Ho Kar Farmaya:
Aye Logon! Main Tumhara Imam Hun, Ruku'o Sajood'o Qayaam aur Namaz Se
Pherne Mein Mujh Par Sabqat Na Karo Ke Main Tum ko Aage aur Peeche
Se Dekhta Hun.
(Muslim Jild#1 Page# 228)
==================================
»»►"Imam Mujaahid jo Hazrat Ibne Abbas (radiyallahu anhu) Ke Khaas Shagird The farmaate Hain;
"Munaafiqeen Mein Se Ek Shakhs Ne Kaha Muhammad Gaib Kya Janein"
(MA,AZALLAH.)
{Al Manshoor Fee Altafseer AlmaasoorJd;65P g;230}
Is par ALLAH Farmata Hai;
"Aur AYE MEHBOOB!! Agar In se Poocho to Kaheinge Ke Hum To Yun
Hi Hansi Khel Kar Rahe The, TUM Farmao Kya ALLAH Aur USKI Aayaton Aur USKE RASOOL se Hanste Ho, Bahaane Na Banao,Tum Kaafir Ho chuke Muslmaan Hokar"
{Surah Tauba Aayat;65,66}
===================================
KYA IN AAYATON KO DEKHNE AUR PARDNE KE BAAD BHI HUM AAQA
SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI SHAAN SE MUNH PHER SAKTE HAI.??
ALLAH TA'ALA ne farmaa diya
"JO NABI KA NAHI WO HAMAARA
NAHI "
»»► »»► »»► »»► »»► »»► »»► »»► »»► »»
YA RASOOLALLAH swallAllahu alaihi wasallam.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...