Idhar Bhi Nighaa E Karam Ghawth-E-Aazam,
Karo Door Ranj-O-Alam Ghawth E Aazam.
Tumhi Dukh Suno Apne Aafat Zadon Ka,
Tumhi Dard Ki Do, Dawaa Ghawth E Aazam.
Bha(n)Var Me Pha(N)Saa Hai, Safina Hamaara,
Bacha Ghawth E Aazam Bacha Ghawth E Aazam.
Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranjo Gham Ki,
Tere Haath Me Hai, Dawa Ghawth E Aazam.
Pha(N)Saa Hai Tabaahi Me, Beraa Hamaara,
Sahaara Lagaa Do, Zara Ghawth E Aazam.
Mashaaikh Jahaan Aayein, Behr E Gadaai,
Woh Hai Teri Daulatsara, Ghawth E Aazam.
Wahaan Sar Jhukaate Hain, Sab Oonche Oonche,
Jahaan Hai Tera Naqsh E Paa, Ghawth E Aazam
Meri Mushkilo(N) Ko Bhi Aasaan Kijiye,
Ke Hain Aap Mushkil Kusha, Ghawth E Aazam
Kahe Kis Se Jaakar, Hasan Apne Dil Ki,
Sune Kaun Tere Siwa, Ghawth E Aazam.
Khilaata Pilaata Hai Rabb-E-Do Aalam,
Tujhe De Ke Apni Kasam Ghawth E Aazam.
Tere Haath Mein Haath Meine Diya Hai,
Tere Haath Hain Laaj, Ya Ghawth E Aazam.
Nikala Hai Pehle To Doobe Huwo Ko,
Aur Ab Doobto Ko Bacha Ghawth E Aazam.
Mureedo Ko Khatra Nahin Behr-E-Gham Se,
Ke Bere Ke Hain Naa Khuda Ghawth E Aazam
Ghira Hoon Mein Har Samt Se Ranj-O-Gham Mein,
Khudara Karam, Kar Karam, Ghawth E Aazam.
Woh Rutbaa Tera Hai Ke Jitne Wali Hain,
Sabhi Tere Zair-E-Qadam Ghawth E Aazam.
Hai Gardan Mein Teri Ghulami Ka Patta,
Tujhi Se Hai Mera Bharam Ghawth E Aazam.
Tera Hoon Mein Tera Mere Is Kahe Ka,
Sar-E-Hashr Rakhna Bharam Ghawth E Aazam.
Madinay Se Najdi Bala Ko Nikalo,
Karo Un Kay Sar Ko Qalam Ghawth E Aazam.
Mera Har Maraz Door Ho Jaaye Piyaare
Karo Aisa Aakar Ke Dam Ghawth E Aazam.
Mere Chaand Mera Muqaddar Sa(N)Waaro,
Bohot Ho Gaye Paich-O-Gham Ghawth E Aazam.
Mujhe Khwaab Me Aa Ke Jalwa Dikha Do,
Karo Aaj Ki Shab Karam Ghawth E Aazam.
Nazar Jab Uthaaoon Nazar Aaye Mujh Ko,
Madine Ka Dilkash Haram Ghawth E Aazam.
Jila Paaye Ga Dil Ubaid-E-Raza Ka,
Zara Rakh Do Apna Qadam Ghawth E Aazam
- - -
Penned by Allama Hasan Raza Khan (Rahimahullah),
Additional couplets by Al-Haajj Muhammad Owais Raza Qadri Barkaati
Additional couplets by Al-Haajj Muhammad Owais Raza Qadri Barkaati
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...