Ziay-e-Gumbad-e-Khazara ke Noorani Nazaron mein;
Machal Jata hay Dil Aashiq ka Inn Rangeen Baharon mein
Meray Piyaray k Piyaray Shehar ki wo Baat hay Piyari;
Ke Khud Piyaray ko Piyar aaey wo piyara hay ye Piyaron mein
Meri Aankhon mein ub bastay nahin hain phool jannat kay;
Nazar meri lagi hay ub tou buss Tayba kay Khaaron mein
Karam ki ye jhalak dekho k mujh jesa Kameena bhi;
Dar-e-Aqdas pe Hazir hay Firishton ki Qitaaron meine
Wo Aaey Muskuratay Rehmatullil Aalameen bun kar;
Qarar-e-JaanFiza bun kr Aseeron Bay Qararon mein
Meray Maa Baap Qurban aap par ae Sayyad-e-Aalam;
Meri Jitni bhi hon naslain sabhi hon Jaan Nisaaron mein
Luta dain Naam-e-Sarwar par Mata-e-Karwan Apna;
Mita kar khud ko ho jaengay shamil Naamdaaron mein
Ba Wajh-e-Ulfat-e-Aaqa mila ye Ohud ko Sadqa;
Shumar iska hay Jannat kay Buland Rutba Pahaarron mien
Ata ho Sar pe rakhnay ko mujhe jo Na'al Paak Unka;
Kahunga phir fakhar se mein bhi hun ub Taajdaaron mein
Jo hay ALLAH ka wo Aapka hay BayGumaan Wallah;
Nahin hota ye Tera Mera Yaaron aur Pyaaron mein
Ata-e-Rub Ta'ala se wo hain Mukhtar-e-Kul BayShuk;
Unhi kay Dar se bat'ti hay yahan Khayraat saaron mein
Ata ho Sadqa-e-Sor-o-Hira meray Kareem Aaqa;
Teray hi Jalway buss jaen hamaray Dil k Gaaron mein
Qamar do tukrray ho jaey palat aaey gaya sooraj;
Wo Taaqat hay Meray Aaqa ki Ungli k Isharon mien
Teri bakhshish ki dhoomain hain Ajam k ShaherYaaron mein;
Teri Kheraat kay Charchay Arab kay Maaldaaron mein
Unhi kay NOOR se Roshan hain Mehr-o-Maah aur Taaray;
Mehak Unki hay Phoolon mein Chaman mein GulAzaaron mein
Abu Bakr o Umar Usman o Hayder kay jo Dushman hain;
Jahannum kay wo kuttay hain shumar unka hay Khwaron mein
Chura letay hain Munkir Dolat-e-Eman pal bhar mein;
Khabasat mein bhi Awwal aur Bala kay Raah Maaron mein
Teri Azmat teri Naamoos par jo detay hain pehra;
Mera bhi naam ho jaey Shaha Unn Pehradaaron mein
Teray hi Jalway buss jaen meri Pyaasi Nigahon mein;
Tera hi Naam ho Aaqa meray DIL ki Pukaaron mein
Nahin chorraingay Sunni Naat Khwani ki Mahafil ko;
k Naat-e-Sarwar-e-Konain hay Qur'an kay Paaron mein
Wo jin kay DIL mein bastay hain Gulistan-e-Sana Goee;
Meray DIL ko bhi kar do Syedi Unn LalaZaaron mein
Khuda kay Fazl se Akhtar Raza Khan Qadri Razawi;
Meray Murshid Meray Rehbar hain meray Gumgusaaron mein
Mein hun adna sa ek Khadim Shaha Akhtar Raza Khan ka;
Rahoon mein Taa Dam-e-Aakhir unhin kay Rayza Khwaron mein
Meray Ghous-o-Raza Khwaja-o-Hamid Mustafa Murshid;
Koi kesay Giraaega mujhe itnay Sahaaron mein
Shaha ~Irfan ko Apna bana kar Tayba mein Rakh lo;
kay ye bhi hay yahan ki Khaak kay Umeedwaaron mein
Baqee-e-Pak mein mil jaey madfan jo mujhe ~Irfan;
Muqaddar wala kehlaonga mien Laakhon Hazaron mein
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...