Ek Dihaati
(village ka rehnewala) HAZRAT
ACHCHHE MIYA alayhirrahma
ke haazire
khidmat hokar MURID hua,
Uske baad
Arsa Daraaz tak (kaafi lambe
waqt tak)
use haazri ka moka na mil
sakaa. Ek
saal HAZRAT SHAH HAMZA
MAREHARVI
alayhirrahma ke Urs Mubarak
me haazir
hua, jaha hazaaro aadmiyo ka
majmuaa
tha. Us Shakhs ke Dil me
khayaal aaya
ke HAZRAT ACHCHHE MIYA
alayhirrahma ke hazaaro
MURID hai,
bhalaa HAZRAT ko kya yaad
hoga ke ye
bhi hamaara MURID hai. Kuch
der ke
baad wo Dihaati bhi baaryaab
hua.
Salam va kalam ke baad
HAZRAT ne use
karib bulaaya, Khairiyat
puchhi, gaanv
(village) ka haal daryaaft kiya
aur
irshad farmaya :
"Miya tum apne maveshi
(Jaanvar) ke
saath gaanv walo ke jo Jaanvar
jungle
me le jaate ho un me Apna aur
paraaya
kese pehchaanate ho ? Us
Dihaati ne
kuch arz kiya."
Uske kehne par HAZRAT ne
irshad
farmaya : "Miya fakir bhi apne
gulam ko
usi tarah khub pehchanta hai.
Un
MURIDO ke gale me
MOHABBAT ka ek
dora bandha hota hai."
"Tujse dar, dar se sag aur sag
se hai
mujko nisbat,
Meri gardan me bhi hai dur ka
dora tera
YA ACHCHHE MIYA
alayhi Rahma.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...