Sada hay ye dil ki meray, AlaHazrat;
Bulaengay mujh ko, meray AlaHazrat
Bareilly ki Galiyan, wahan ki baharain;
Dikhaengay ke mujh ko meray AlaHazrat!!
Yun Jalwon se Noori o Hamid Raza ke;
Basaengay dil ko meray AlaHazrat
Madinay se jayengay hum bhi bareilly;
Bulaengay hum ko meray AlaHazrat
Dayaar-e-Nabi mein muhazzab mu'addab;
Basaengay mujh ko meray AlaHazrat
Salamat rahega mera deen o Iman;
Bachaengay mujh ko meray AlaHazrat
Nigahon se apni Maey Ishq o Ulfat;
Pilaengay mujh ko meray AlaHazrat
Gham-e-Furqat-e-Maah-e-Taybah mein Aksar;
Rulaengay mujh ko meray AlaHazrat
Khuda ke Khazanon mein ka mera hissa;
Dilaengay mujh ko meray AlaHazrat
Siwa uss se, jo hay meray haqq mein behtar;
Dilaengay mujh ko meray AlaHazrat
Jo hay rasta naykon ka, woh raah seedhi;
Chalaengay mujh ko meray AlaHazrat
Sana khuwan banaya hay tou khuld mein bhi;
Parhayenge mujh ko meray AlaHazrat
Dam e Naz'a aa kar Sar e Baaleen Kalima;
Parhayenge mujh ko meray AlaHazrat
Madinay mein mawt aaey Ya Rabb, baqee mein;
Sulaengay mujh ko meray AlaHazrat
Nakeerayn puchengay jo, uski baabat;
Batayengay mujh ko meray AlaHazrat
Liwa ke taley jab sana hogi unki;
Parhayeng mujh ko meray AlaHazrat
Sadaa ayegi Rabb e Sallim ki pull par;
Sambhalengay mujh ko meray AlaHazrat
Pukara hamesha, Bareilly ka Shaha!
Pukarengay tum ko, meray AlaHazrat
Nawaza hamesha, Nawaz rahay hain;
Nawazengay mujh ko meray AlaHazrat!!
Wahabi ke radd me qalam ko chalana;
Sikhaengay mujh ko meray AlaHazrat
Rawafiz ki durgat, khawarij pe Aafat;
Banaengay mujh ko meray AlaHazrat
Sada Ghous-e-Azam ka, Khwaja ka Langar;
Khilaengay mujh ko meray AlaHazrat
Mujhe meri Naslon ko Aaqa ka Langar;
Khilaengay sab ko meray Alahazrat
Raza ke mission ko jo phelao lougon
Sarahengay tum ko meray AlaHazrat
Gulaman-e-Barakat o Razawi Deewanay
Banaengay hum ko meray AlaHazrat
Ma'iyyat mein Murshid ki Hajj aur Umray;
Karaengay mujh ko meray AlaHazrat
Madinay mein phir jald Akhtar Raza say;
Milayengay mujh ko meray AlaHazrat
Meray Murshid o Jaan e Alam ka piyara;
Banaengay mujh ko Meray AlaHazrat
Sada fayz Akhtar Raza se Yaqeenan;
Dilaengay mujh ko meray AlaHazrat
Tujhe khawf kis ka ho ~Irfan-e-Noori
Nibhaengay tujh ko meray AlaHazrat!!
Shafa'at ka Mujzda Sar e Hashr ~Irfan;
Sunaengay tujh ko meray AlaHazrat!!
— — —
Penned by:
Irfan Qadiri
Madinah Munawwarah
15th Rajab al-Murajjab 1434H0
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...