Maah-e-Bahar Aaya, Dil ko Qarar Aaya
Aalam pe Noor Chaya, wo Dilfigar Aaya
Bajtay hian Shadyanay, Har Soo hain ye Taranay
Aaya wo Noor wala wo Zi Waqar Aaya
Sar ko kata deingay, Jaanain luta deingay
Naamoos pae jiski, wo Naamdaar Aaya
Khaaliq ka Banda, Khalqat ka Aaqa
Mahboob-e-Rabb-e-Aali Waqar Aaya
Har samt pehli jiski Zia hay
wo Noori Paiker wo Shahkaar Aaya
Zikr-e-Wiladat ki Barkaton se
Dil par hay Noor chaya, Rukh par Nikhar Aaya
Jis Gul ki Bheeni Bheeni Mahak se
Do Jag Mu'attar wo Mushkbaar Aaya
Milad-e-Mustafa mein, Gulshan Mahak rahay hain
Sunni Chahak rahay hain, Jaan-e-Bahar Aaya
Arab-o-Ajam mein Aamad ki Dhoomain
Najdi Wahhabi Sub ko Bukhar Aaya
Gham ki Ghataen, Dahshat, Balaen
Sub door karnay wo Ghamgusar Aaya
Jashn-e-Wiladat, Subko Mubarak
Jiski ki hain Ummat, wo Shahryar Aaya
Irfan Kiyun na Khushiyan Manaey?
Banda hay Jiska wo Taajdaar Aaya
- - -
Penned by Haji Irfan Edhi Qadiri (Madinah Munawwara), 12th Rabi al Awwal Sharif 1432H
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...