Azmat-e-zuljalaal Qutubuddin, Rang-o-noor-o-jamaal Qutubuddin;
Haq nazar, haq nigaah, haq aagaah, Haasil-e-har sawaal Qutubuddin;
Rooh-e-fikr-e-khayaal-e-be-rangi Jaan-e-bazm-e-khayaal Qutubuddin;
Qutb-ul-Aqtaab haasil-e-kaunain, Sar basar bemisaal Qutubuddin;
Jaansheen-e-Shah-e-Ghareeb Nawaz, Maah-e-burj-e-kamaal Qutubuddin;
Daad sar raaba khanjar-e-tasleem, Saahib-e-kaif-o-haal Qutubuddin;
‘Raaz’ adna ghulaam-e-aan Khwaaja Yaani aan bemisaal Qutubuddin...!!!!
~ Az Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan 'Raaz' Niyazi رحمۃ الله تعالیٰ علیہ
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...