Baqaa e jaavidaan tum ho ameer e aashiqaan SAABIR .
Tumhaare naam hain wirde zubaan e aarifaan SAABIR .
Tumhaari rif'aton ki had nahin maaloom aalam ko.
Tumhaari sair ki hai ibteda az la makaan SAABIR.
Tajalli gaah e yazdaan ho mujassam noor e haq SAABIR .
Sareer e mulk e yazdaan par tera hukm e rawaan SAABIR .
Ajab hungama woh shorish zamaane bhar mein SAABIR ke.
Tamaasha gaahe aalam hai tumhaara aastaan SAABIR .
Tumhaara kuchaaye irfaan hai ek toor ka tukda.
Jahaan par us tajalli ka abhi tak hai nishaan SAABIR .
Jahaan sau khuld ka manzar zameen woh quds kalyar hai.
Chaman zaare hawiyyat mein nihaan tum ho yahaan SAABIR .
Tumhaare dar se mangta par nawaazish ka ye aalam hai.
Bhikaari ban ke jaata hai shahenshaah e jahaan SAABIR .
Tumhaari sair hai fillaah tumhaara auj hai billaah.
Fanaa ki ibteda tum ho baqaa ki daastaan SAABIR .
Fuyuze aalime ummi se tu faiyyaaz e aalam hai.
Fuyuze la takhaf paaye gadaaye aastaan SAABIR.
Tumhaare rukh ki taabaani jo aalam taab baatin hai.
Tumhaare rukh ke jalwe hain shahaa mehr e tabaan SAABIR .
Tumhin sarve gulistaane ALI ho baab e wahdat ka.
Tumhin USMAAN, UMAR, BU BAKR ki umre rawaan SAABIR .
NABI ka laadla shaan e Ali Hasnain ka jalwa.
Nigaar e dast e qudrat ka ajab mo'ajiz nishaan SAABIR .
Woh chamki soorat e khursheed si ek doosri soorat.
Tumhaare nakhun e paa hai shaha badr e tabaan SAABIR .
Meri tum tak rasaai to nahi lekin rasaai hai.
Tumhaari har jagah har aan tum faiz e rawaan SAABIR .
Kamaan e iqtedaar e kum makun haasil huwa tum ko.
Tumhaare haath hai kaunain ke donon kamaan SAABIR .
Jalaal e Haq ta'ala zill e zaat e kibriya tum ho.
Kamaal e Haidari mein tum yagaana yaknishaan SAABIR .
Bahaar e gulshan e imkaan naseem e khuld e irfaan ho.
Saraapa Rehmat e Aalam ka behr e bekaraan SAABIR .
Munawwar chashmahaaye Auliya hain khaak kalyar se.
Tumhaari reh guzar bhi kya hai kuhl e aarifaan SAABIR .
Suroor e dil tum hi tum ho qaraar e jaan tum hi tum ho.
Fuyooz e jaavidaan tum ho sukoot e laamakaan SAABIR .
Sagaane kuchaye dar ki tamanna hirso laalach hai.
Miley us khwaan ka chhora hua ek ishtikhwaan SAABIR .
Hamaari daad tum fariyaad tum aur reham farma tum.
Hamaari aabru tum aasraa tum jaane jaan SAABIR .
Tumhaare dar pe reh ke door tum se haaye majboori.
Ke uftaada zameen mein tum siraaj e laamakaan SAABIR .
Banaalo apna qaidi aur rihaayi do zamaane se.
Phiroon kab tak zaleel o khwaar dar dar be amaan SAABIR .
Dikhaade roo e anwar ki jhalak ab to gulaamon ko.
Banaa madhosh e ulfat aur mita sab een o aan SAABIR .
Tajalli dekh lun teri fanaa hokar milun tujhse.
Dikha kaliyar mein phir mujhko wahi daur o zamaan SAABIR .
Tawaafe koochaye dar ko fanaa ki ghaat yun samjha.
Tumhaari deed hai waj he baqaaye jaawidaan SAABIR .
Main tanha kaam ke qaabil kahaan hoon tum agar chaaho.
Jahaan mein ek jahaan e nav ho paida ho jo haan SAABIR .
RAZA o HAAMID o NOORI ki nisbat ki badaulat hi.
Tumhaara faiz hai yaaraane NOORI par ayaan SAABIR .
Main kaise jee raha hoon daur kaisa pur fitan aaya.
Sitam kori wahaabi ki karoon kya kya bayaan SAABIR .
Dikha mujhko hareem e aashiqaan tu bazme baala mein.
Wahaan midhat ko ho ARSHI zabaan e aashiqaan SAABIR.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...