Maah e Seema hai Ahmad-e-Noori
Mehr e Jalwa hai Ahmad-e-Noori
Noor wala hai Ahmad-e-Noori
Noor wala hai Ahmad-e-Noori
Door pahuncha hai Ahmad-e-Noori
Bahot ooncha hai Ahmad-e-Noori
Wasf ujla hai Ahmad-e-Noori
Kashf akhfa hai Ahmad e Noori
Zikre aisa ke kalme ki ungli
Khoob sarapa hai Ahmad-e-Noori
Anjuman ho rahi mashrik Noor
Jalwa farma hai Ahmad-e-Noori
Achhe pyare ke dil ka tukda hai
Achha achha hai Ahmad-e-Noori
Bholi surat hai Noor ki moorat
Pyara pyara hai Ahmad-e-Noori
Gule baghdad ki mehak me basaa
bheena bheena hai Ahmad-e-Noori
Abr barkaat ki tapak mein dhula
Ujla ujla hai Ahmad-e-Noori
Sayyadul Ambiya Rasoolullaah ﷺ
Tera baba hai Ahmad-e-Noori
Mere Aaqa ka laadla beta
Naazo paala hai Ahmad-e-Noori
Teri rehmat teri ne'mat par
Mera daawa hai Ahmad-e-Noori
Mere Aaqa ka tujhpe aur tera
Mujhpe saaya hai Ahmad-e-Noori
Noor e ahmed mujhko bhi chamka de
Naam tera hai Ahmad-e-Noori
Doodh ka doodh paani ka paani
Karnewala hai Ahmad-e-Noori
Jis ka main khana zaad us ka Tu
Pyara beta hai Ahmad-e-Noori
Mere haq mein mukhaalifon ki na sun
Haq yeh mera hai Ahmad-e-Noori
Itna keh de Raza Hamara hai
Paar beda hai Ahmad-e-Noori
Aye Raza kyun malool hote ho
Haan tumhara hai Ahmad-e-Noori !
- - -
Penned By:
Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan Qadri Barkaati Faazil e Bareilly Alaihi Rahma
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...