1-Zubaan hi dost ko dushman aur dushman ko dost banati hai,
2-Duniya ko fateh karna aasan hai aur khud ko fateh karna bahot mushkil,
3-Apni galatiyo ko tasleem karne waala kabhi nahi bhatak sakta,
4-Achhi zindagi us shama ke manind hai jo khud jal kar doosro ko roshni deti hai,
5-Duniya me daolat jama karna is liye bewaqoofi hai ki kafan me jeb nahi hoti,
6-Kisi ko dhoka mat do dhoka dena musalmano ki shaayaan-e-shaan nahi,
7-Jaha sadaqat aur khuloos nazar aaye waha dosti ka haath badhao warna tanhayi behetreen rafeeq hai,
8-Tumhare paas jab insan ko dene ke liye kuch na ho to use muskurahat ke do phool hi dedo,
9-Jab bhi kisi doosro ki aib joi karte paao to use apne dosto ki fahrist se khaarij kar do,
10-Bure aadmi achchhi baato me bhi buryi dhoondte hai jis tarah makkhi poora khoobsorat badan chhod kar zakhm par baithti hai,
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...