Khuda ke fazl se izzat mili Naatein sunane ki,
Muazzaz hu mai ab ye raai hai sare zamane ki.
Har ik dil me tamanna hai dare aqdas pe jane ki,
Sabab ye hai ke woh bigdhi banaate hain zamane ki.
Yaha to ilteja karloo dare aqdas pe janae ki,
Waha par zid pakadhlun ga kabhi wapas na ane ki.
Shab-e Me'raj aaqa ka khiram-e naz to dekho,
Nazaare ke liye khud ruk gayee gardish zamane ki.
Madeene mai bhi ja sakta hu lekin masa'la ye hai,
Kaha se launga himmat unhen surat dikha ne ki.
Lipat jaunga qadmo se to seene se laga legen,
Mere aaqa ko aadat hi nahi thokar lagane ki.
Jaha who hain, khuda hai, aur koi bhi nahi afsar
Waha bhi baat karte hain who mere bakhsh waane ki.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...