* Durud Sharif ki Fazilat *
Sarkaar-e-Madina, Rahat-e-Qalb-o-Seena, Sahib -e-Muattar Pasina (sallAllaho ta'la alayhi wa sallam) ka farman-e-aafiyat nishan hay:
”Aey logon! Be-shak baroz-e-qayamat us ki dehshaton aur hisaab kitab say jald nijat panay wala shakhs woh ho ga jis nay tum mein say mujh per dunya kay ander ba-kasrat Durood shareef parhay hon gey.
[Firdous-ul-Akhbar, vol. 5, pp. 375, Hadis 8210]
Durud sharif Parhe, Parhte rahe...
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...