✽ Jo ho chuka hai jo hoga, Huzoor ﷺ jante hain, Teri aata say Khudaya, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya, Ke jantay thay sahaba, Huzoor ﷺ jaante hein
✽ Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe, Khuda nay kitna nawaza, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye, Kahan say kisnay pukara, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein, Ke yaar e ghar ka rutba, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka, Woh apna hai ke paraya, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya, Mizaaj Umar ka hai kaisa, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian, Maqaam unki haya ka, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Hain jiske Moula Huzoor ﷺ uske hain Ali Moula, Abu Turab ka rutba, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed, Ali ki shaan e yagana, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat, Ke shaan e Fatma Zahra, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Jannat mein kaun hain sardaar nojawanoon kay, Hasan, Hussain ke nana, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Malaika ne kiya youn to
sajda Adam ko, Dar asal kis ko tha sajda, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba, Ke Jang e Badr ka naqsha, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa, Aao adna aur ma aaoha, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa, Yeh deed e haq ka bahana, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye, Sunaoon kaise fasana, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko, Main kis qadar houn kameena, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke, Unhein bhi dar pe bulana, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad, Ke unkay gham ka madawa, Huzoor ﷺ jaante hain.
✽ Khuda hi jaanay UBAID unko
hai pata kiya kiya, Hamein pata hai bus itna, Huzoor ﷺ jaante hain.
MASHALLAH ♥
ReplyDeleteAyv Ma Sha Allah
ReplyDeleteماشاءاللہ
ReplyDelete