Ads 468x60px

Jun 22, 2013

Narazgi Aur Namaz Ka Qubul Na Hona...

Shohar ko chahiye ki apni Biwi se chhoti chhoti baato ko lekar naraz na huwa kare, aur isi tarah Biwi ko bhi chahiye ki koi aisi chiz na kare jho shohar ko pasand na ho. haan agar koi shari'at ke daayre me aurat ne kiya jaisa ki parda karna farz hai aur aurat ne parda kiya par shohar ko ye achcha nahi lagta tou ye shohar ki be-wuqufi hai, aur woh gunehgar hai.

par digar chize aisi jho roz marrah ki hoti hai, aur chhoti-chhoti hoti hai jisme shohar ko hamesha narmi rakhni chahiye aur naraz na hona chahiye. 

hadees Sho’abul Iman me Page No. 417 par Hadith No. 5186 me zikr hai ki jis aurat se uska shohar naraz ho uski na koi namaz kubul hoti hai na koi neki! agar koi chhoti chhoti baat baar baar pesh aaye tou dil se tou mu'af karde par uski solution ke liye ye izhar kar sakta hai ki woh naraz hai taki aage se woh galati pesh na aaye, aur aise me agar Bivi koi ibadat kare, jaise namaz ya koi digar deen ki chize tou use sawab milta rahe. 

ALLAH isme barkat de,
Aameen

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views