Qasidah e Fatah e badayun
Manqabat on Alahadrat Azeemulbarakat Radi Allahu Anhu written in Rabi al Awwal Shareef 1335 Hijri
by madaah al Habeeb Hadrat Maulaana Jameel Al Rahmaan Qadiri Razawi Alayhirrahmah.
Aabrooye mominaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Rehnumaaye gumrahaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Ilm main behre rawaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Deen main gohar fashaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Ilm ke hain gulsitan Ahmad Raza Khan Qadiri
Baagh Deen ke gul fashaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Haq shanaas o haq numaa o naaibe shams al duhaa
Waarise payghambaraan Ahmad Raza Khan Qadiri
Baaghe deen main naghma khwaan o khush bayaan shireen zabaan
Tootiye shakr fashaan Ahmad Raza khan Qadiri
Chasme Imaan say ager dekho to hain Imaan ki jaan
Jaan e jaan rooh e rawaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Tera ilm o fazl o shaan o showkat o jaaho hashm
Shash jehat par hay ayaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Hay arab ke aalimon ka madh khwaan saara jahaan
Aur woh tere madh khwaan Ahmad Raza khan Qadiri
Tum say gulzaar e shariat main khulay khush rang phool
Baagh deen main gul fashaan Ahmad Raza Khan Qadiri
Roz afzoon hashr tak ya Rab taraqqi par rahe
Lehlahaata bostaan Ahmad Raza khan Qadiri
Sadqah Shaahe Arab yowman fayowman ho buland
Teri izzat ka nishaan Ahmad Raza khan Qadiri
Deen ka dushman ho ya ho dost sab ke waastay
Hay teri haq go zabaan Ahmad Raza khan Qadiri
Tere sadqay main Khudaa chaahay to paain gey ghulam
Kal wahaan baagh jinaan Ahmad Raza khan Qadiri
Haq Taala nay kiyay bay hadd kamaalaat o uloom
Tere seenay main ayaan Ahmad Raza khan Qadiri
Saif adaa ke liyay momin ke haq main hain sipar
Aap ki haq go zabaan Ahmad Raza khan Qadiri
Ahle Sunnat ke sarron par daaimaa rakhay Khudaa
Tujh ko baa amno amaan Ahmad Raza khan Qadiri
Aalimaan e Makkah o Taybah nay lee tujh se sanad
Hain woh tere qadr daan Ahmad Raza khan Qadiri
Kia sataa saktay hain tujh ko tere adaa murshidaan
Haq hay tujh par meherbaan Ahmad Raza khan Qadiri
Par gaya pusht par adaa ki abb kia jaaye ga
Tere koraay ka nishaan Ahmad Raza khan Qadiri
Dekh kar jalwahe ashiddaahu alal kuffaar ka
Har adoo hay bay zabaan Ahmad Raza khan Qadiri
Cheer kar badmazhabon ke dil main guzree waar paar
Tere neze ki senaan Ahmad Raza khan Qadiri
Aa chukki thi shaikh najdi ke bayabaan main bahaar
Bhej di tu nay khizaan Ahmad Raza khan Qadiri
Fatah di haq nay tujhay adaae deen par daaimaa
Tujh pe hay haq meherbaan Ahmad Raza khan Qadiri
Kia sataatay hain tujhko adaa ? Thi yeh hikmat khalq ki
Ho raha tha imtihaan Ahmad Raza khan Qadiri
Dawae adaa haqeeqat main kasowti tha ke hon
Dost aur dushman ayaan Ahmad Raza khan Qadiri
Thay Wasi Ahmad muhaddith Rahmatullahi Alaihi
Aap ke ik rutba daan Ahmad Raza khan Qadiri
Khaandaane paak Barkaatiyah ka chashmo chiraagh
Kehtay thay Noori Mian Ahmad Raza khan Qadiri
Shah peelibhit ke Hadrat Muhammad sher khan
Thay tumhaaray madh khwaan Ahmad Raza khan Qadiri
Rampuri saabiri chishti Mian Naasir walli
Jaantay thay teri shaan Ahmad Raza khan Qadiri
Haaziro ghaaib tere haq main duaaon ke liye
Umr bhar kholi zabaan Ahmad Raza khan Qadiri
Aap ka Haamid hay Haamid Sayyid kownain ka
Hay yeh teri izzo shaan Ahmad Raza khan Qadiri
Muhyi e Sunnat aur Mujaddid iss saddi ke hain aap
Aay Imaame Muftiyaan Ahmad Raza khan Qadiri
Yaad rakhain gey Qayaamat tak ghulaaman Rasool
Tere jalson ka samaan Ahmad Raza khan Qadiri
Aay mere achay ke achay mujh ko bhi acha banaa
Sadqah e achay Mian Ahmad Raza khan Qadiri
Sadqah e Sarkaar Jeelaani phallain phoolain mudaam
Mustafa Haamid Mian Ahmad Raza khan Qadiri
Day mubarak baad un ko Qadiri Razawi Jameel
Jin ke murshid hain Mian Ahmad Raza khan Qadiri
Transliterated by Faqeer Mohammed Shakeel Qadiri Ridawi
- رحمۃ الله تعالیٰ علیہ -
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...