Noor-e-Ahmed Ki Ziyaa hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Shama-e-Deen-e-Mustafa Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Log Kehte Hain Ke Kya hai?
Maslak-e-Ahmed Raza
Maslak-e-Ahmed Raza Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Mazhab-e-Hanfi ho Ya ho, Mashrab-e-Ghous-o-Ali
Hum Talak Pahuncha Raha Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Rab Ko Maano Aur Habeeb-e-Rab Se Tum Ulfat Karo
Haan Yahi to Keh Raha Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Yeh Sikhata Hai Shariat Aur Tareeqat Ke Usool
Deen-o-Imaa'n Ki Jilaa hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
FiZamana Sunniyat Ki Bus Yahi Pehchaan Hai
Sikka Rayej-ul-Waqt ka Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Poori Sunni Duniya Mein,
Sachche Aqeede Ke Liye
Ibtida Aur Intiha hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Aalahazrat Ka Yeh Ahsaa'n hum Musalmano Pe Hai
Ishq-e-Ahmed De Raha Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
NAAM KE "SAYYED" JO JALTE HAIN RAZA KE NAAM SE
UNKE DIL MEIN CHUBH RAHA HAI,
MASLAK-E-AHMED RAZA
Samna hota hai jab bhi Dushmanaan-e-Deen se
Dhaal banker Aa Gaya Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Murshid-e-Marehra ne Nisbat Raza Ko Aisi di
Sharah-e-Deen-e-Haq Bana Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
"Nazmi" Tumko Kiyon Na Barkaati Raza Per Naaz ho
Tum Ne Ghutti Mein Piya Hai,
Maslak-e-Ahmed Raza
Written by:
Sayyid Aal e Rasool Hasnain Miya Nazmi Barkaati (AlaihirRahma)
Allah paak Apne Habib e paak صلى الله عليه وسلم ke Sadqe me Hum Sab Ko Marte Dam Tak Or Hamari Aane Wali Naslo Ko Ta Qayamat Tak Maslak e Aala Hazrat par Qayam wa Dayam Rakhe or Isi Par Hum Sab Ka Khatma Bil Khair Ho
Aameen Ya Rabbal Aalameen
ameen
ReplyDelete