HIQAYAT:-
**********
Hazrat Ibrahim Bin Adham Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ek Raaste Se Guzar Rahe The! Aapne Ek Sharabi Ko Dekha Jo Sharaab Ke Nashe May Rah May Gira Hua Tha! Be-Hoshi Ke Aalam May Apni Zubaan Se Bahoat Bakwaas Ker Raha Tha! Hazrat Ibrahim Bin Adham Uske Paas Taher Gaye Aur Farmaya, Yeh Zubaan To Zikr-A-Haq Keliye Thi! Ise Kaunsi Aafat Pahuchi Ki Yeh Aise Bakwaas Ker Raha Hain! Fir Aapne Pani Mangwaya Aur Uska Mooh Aur Uski Zubaan Dhone Lage Aur Dhoker Aage Tashrif Legaye! Sharabi Hosh May Aaya To Logon Ne Use Yeh Saara Kissa Sunaya! Sharabi Yeh Sunker Hazrat Ibrahim Adham Mera Mooh Aur Zubaan Dho Gaye Hain! Roya, Aur Kehne Laga, ILAHI! Tere Maqbool Bande Ki Sharm Khaker Main Sacche Dil Se Tauba Karta Hoon! Tu Apne Maqbool Bande Ke Tufail Mujhe Baksh De!
Raat Ko Hazrat Ibrahim Bin Adham Alaihir Rehmaan Ne Khwab Dekha Ki Koi Kehne Wala Keh Raha Hain Ki, Aye Ibrahim! Tune Us Sharabi Ka Hamari Khatir Mooh Dhoya! Hamne Tumahri Khatir Uska Dil Dhoya!
"SUBHAAN ALLAH"
(Rauzur-Riyaheen, Pg-117)
*******************************
SABAK:-
********
ALLAH Ke Maqbool Bandon Ki Qurbat Wa Mayiyat Se Insaan Ki Kaya Palat Jati Hain Aur ALLAH Ki Rehmat Se Sab Gunah Dhool Jate Hain! Aakibat Acchi Hojati Hain! Fir Jo Log Yeh Kahe Ki Un Waliyon Ke Paas Kya Pada Hain Aur Unke Paas Jane Se Kya Faida? Wo Badh-Nasib Aur Badh-Bakht Hain, Ya Nahi?

0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...