Chahte Aap to khud daur ke aata pani
Ya Husain aapki thokar se nikalta pani,
Ya Husain aapki thokar se nikalta pani,
Kya thi auqaat pila deta jo dariya pani,
Mere Abbas ne dariya ko pilaya pani,
Mere Abbas ne dariya ko pilaya pani,
Aasman gar tujhe Shabbir ishara karte
Dil yeh kehta he k Ta-Hashr barasta pani,
Dil yeh kehta he k Ta-Hashr barasta pani,
Ediyaan apni zameen par jo ragadte Ashgar
Qarbala tere sambhale na sambhalta pani,
Qarbala tere sambhale na sambhalta pani,
Itne Dar-Dast Abbas ke dono baju
Pad gaya jispe bhi usne nahi manga pani,
Pad gaya jispe bhi usne nahi manga pani,
Kaun kehta he k pani k the pyase Shabbir
Sach to yeh he k Shabbir ka tha pyasa pani,
Tujhpe 100 jaan hai Qurban meri Ae Ashgar
Teri Himmat ne Yazeedon ko pilaya pani,
Teri Himmat ne Yazeedon ko pilaya pani,
Ya Ali Sher-e-Khuda aapke bete Shabbir
Hukm dete to Suraj bhi Ugalta pani
Ya Husain aapki thokar se nikalta pani
(Radiyallahu T'ala Anho)
(Radiyallahu T'ala Anho)
Subhanallah bhaijan mashalah bahut dil ko chu gayi
ReplyDeleteMashaallah
Subhanallah
Sahi baat hai dil ko chhu gayi
DeleteBhot umda lazwab
ReplyDeleteMasha Allah
ReplyDelete