1-Islam ka jhanda na jhuka hai na jhukega : Baatil se kabhi Haq na daba hai na dabega
2-aati hai sada ab bhi yahi karbo bala se : Islam ka pauda na kata hai na katega
3-Kahdo ye Zamane se ki Islam hamara : bahta hua darya na ruka hai na rukega
4-Ye bole Husain ibne Ali ran men pahuch kar : Sar zulm ke aage na jhuka hai na jhukega
5-Jisko Mere Hasnain se sachchi hai mahabbat : Najdi se wo Rishta na rakha hai na rakhega
6-Neze pe bhi kahta hai sare hazrate Shabbir : Zahra ka dulara na mara hai na marega
7-Hulqume Ali Asgare Ma'soom pukare : Qabza mera Kausar se hata hai na hatega
8-Ae Zaalimo Hasnain karimain ka Rutba : Tum Laakh ghatao na ghata hai na ghatega
9-Karbal ki zamin aaj bhi deti hai ye aawaz : batil se kabhi Haq na juda hai na judega
10-Ashaabe Nabi Aale Payambar ka hai daaman : haathon men hamare na chhuta hai na chhutega
11-Hai khaufe Khuda jiske bhi seene men ae Shahid : woh aor kisi se na dara hai na darega
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...