Ads 468x60px

Feb 2, 2013

Jo Gaya Wo Naa Aaya


Apni duniya me mast rehta tha main

Mout ki fikar na karta tha main

Gunah ko Gunah na smajhta tha main

Lazzaton k piche bhagta tha main

Dil chahta tha k padhu Namaz main

Par Masjid tak jism na le jata tha main

Duniya ki rounaq me magan tha main

Waqt dosti me barbad karta tha main

Phir 1 din achanak andhera chaya

Aankh khuli to khud ko qabar me paya

Phir ALLAH ne pucha k 'kya lekar aaya?'

Ghar jana chaha lekin ja na paya

qabar ki tanhai ne bohot daraya

Aawaz di apno ko to koi na aaya

waqt hai sambhal ja, jo gaya wo na aaya...

Namaaz bohot keemti hai, Pyaare Nabi SwallAllahu Alaihi Wa Sallam ne samjhaya hai..

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views