HADITH:
Huzoor-e Aqdas Sarwar-e A’alam (SwallAllahu Alaihi wa Sallam) Farmaate hain:
Shab-e Asra (Me’raaj ki raat) mera guzar ek mard par huwa ke Arsh ke Noor mein ghayab tha, maine Farmaya: Ye kaun hai, Koi Farishta hai? Arz ki gayi: Nahi. Maine Farmaya: Nabi hai? Arz ki gayi: Nahi. Maine Farmaya: Kaun hai? Arz ki gayi: Ye ek mard hai, dunya mein iski zabaan yaad-e Ilaahi se tar rehti thi, aur dil Masjid mein laga huwa, aur isne (kisi ke Maa-Baap ko bura kehkar) kabhi apne Maa-Baap ko bura na kehlwaya.
-Durr-e Mansoor: 1/149
-Attargheeb wattarheeb: 2/395
-Fataawa Razwiya: 28/424
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...