Feb 13, 2013
Qura'n ki Mohobbat...
Abu Huraira (Radhi Allahu Ta'ala Anhu) se Riwayat Hai ke Nabi-e-Kareem (SwallAllahu Alaihi Wa Sallam):
Jab Kuch Log Allah ke Gharo Me Se Kisi Ghar Me Jamaa' Hote Hain (Yaani: Masjid Me Aate Hain),
Aur Woh Allah ki Kitaab (Qura'n) ki Tilawat Karte Hain,
Aur Aapas Me Ek Doosre Ko Sikhte Sikhaate Hain; Jab Ye Silsila Hota hai, To Woh Kitne Khush Naseeb Hain,
Rab-bul-Aalameen Un Par "Sakina" ko Naazil Farmaata Hai
{Sakina - Firishto ki Un Jamaat ko Kehte Hain, Ke Jab Woh Kisi Par Aate Hain To Uske Dil Me Sukoon, Chen, Itminaan Ko Naazil Kar Dete Hain}
Aur Unhe Allah Ki Rehmat Daanpleti Hai,
Aur Ae Qura'n ki Mohobbat Me Jamaa' Hone Waalo Khush Hojaaiye,
Ke Qura'n ki Mohobbat Me Jamaa' Hone Waalo Ko Firishte Apne Paro Me Daanplete Hain,
Aur Rab-bul-Aalameen, Aise Logo Ka Dhikr Apne Firishto Ke Saamne Farmaata Hai
[Sahih Muslim, Abu Dawud]
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...