Abr-e-Karam Gesoo-e-Muhammad
Donu Haram Abroo-e-Muhammad
Sab ki Nazar hay Soo-e-Ka'bah
Ka'bah takay hay Roo-e-Muhammad
Ka'bah takay hay Roo-e-Muhammad
Ka'bay ko kis ne banaya Qiblah
Ka'bay ka Ka'bah Roo-e-Muhammad
Ka'bay ka Ka'bah Roo-e-Muhammad
Sajda-e-Sar hay Soo-e-Ka'bah
Sajda-e-Dil hay Soo-e-Muhammad
Sajda-e-Dil hay Soo-e-Muhammad
Saaray Chaman mein kis ki Khushboo
Khushboo hay Khushboo-e-Muhammad
Khushboo hay Khushboo-e-Muhammad
Kis ki Chamak hay Paykar-e-Gul mein
Gul mein Khila hay Roo-e-Muhammad
Gul mein Khila hay Roo-e-Muhammad
Dhaaray chalay har Ungli se Unki
Dekho wo Nikli Joo-e-Muhammad
Dekho wo Nikli Joo-e-Muhammad
Sab se Anokha Moo-e-Muhammad
Sab se Niraali Koo-e-Muhammad
Sab se Niraali Koo-e-Muhammad
Kis ka Moo deta hay Gawahi
Moo-e-Muhammad Moo-e-Muhammad
Moo-e-Muhammad Moo-e-Muhammad
Zinda hay Wallah Zinda hay Wallah
Jaan-e-Do Aalam Roo-e-Muhammad
Jaan-e-Do Aalam Roo-e-Muhammad
Bheeni Bheeni Khushboo Lahki
Khul gaey jab Gesoo-e-Muhammad
Khul gaey jab Gesoo-e-Muhammad
ye rah Mahki woh raah mahki
Khul gaey jab ke Gesoo-e-Muhammad
Khul gaey jab ke Gesoo-e-Muhammad
Akhtar-e-Khasta Chal de Jinaan ko
Baag-e-Jinaan hay Koo-e-Muhammad
Baag-e-Jinaan hay Koo-e-Muhammad
[SallAllahu Ta'ala Alaihi wa Aalihi wa SaHbihi wa Baaraka wa Sallam]
[Written by: Taaj al-Shari'ah Mufti Akhtar Rida al-Qadiri (May Allah preserve him)] ~ on 14th Ramadan al-Mubarak 1434H i.e. 24th July 2013 in Delhi.
Urdu Text |
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...