» Hadees : Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Apni Ummat Ko Baat Baat Par Gussa Karne Se Manaa Farmaya Hai.
Chunanche Hadees Sharif Me Hai Ki Ek Aadmi Huzur Ke Darbar Me Hazir Hua Aur Arz Kiya Ki, “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Mujhe Kisi Amal Par Hukm Dijiye Magar Bahot Hi Thoda Ho”,
Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, “Gussa Mat Kar”.
Usne Kaha Ki Kuch Aur Irshaad Farmaiye.
Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Phir Yahi Farmaya Ki, “Gussa Mat Kar”
Phir Kai Baar Uss Aadmi Ne Maloom Kiya Magar Har Baar Aapne Yahi Farmaya Ki, “Gussa Mat Kar”.
-: (Bukhari Sharif, Mishkat 2-433, Ahyaul’ulum 2-165 Misri)
» Hadees : Rasool-e-Khuda (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya Ki,
“Pehlwan Woh Nahi Jo Logo Ko Pachad Deta Hai, Balki Pehlwan Woh Hai Jo Gusse Ki Halat Me Apne Nafs Ko Kaabu Me Rakhe”.
-: (Mishkat Sharif 2-433, Mujatbai)
» Gusse Ka Ilaaj :
Jab Bemouka Gusse Ki Jhallahat Aadmi Par Sawaar Ho Jaaye Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya Hai Ki,
“Uss Shakhs Ko Chahiye Ki Wah Fauran Hi Wuzu Kare! Isliye Ki Bemouka Gussa Dilane Wala Shaitaan Hai Aur Shaitaan Aag Se Paida Kiya Gaya Hai Aur Aag Paani Se Bujh Jaati Hai Isliye Wuzu Gusse Ki Aag Ko Bujha Deta Hai”.
-: (Mishkat Sharif 2-435, Mujtabai)
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...