Khwaja Ghareeb Nawaz (Rahmatullahi Ta'ala Alayh) Ke Liye Aala Hazrat (Rahmatullahi Ta'ala Alayh) Ki Aqeedat o Mohobbat Mulahiza Farmayein:
SAWAL: Agar koi Molvi apne Madrase ke
Darwaze par aur Khilafat ke Board par aur
Khilafat ki Topi par aur Khilafat ki Raseed par
Faqat ‘Ajmer’ likhe, kya ‘Ajmer’ ke saath ‘Shareef’
Na likhna aur Asli Naam ‘Ghulam Mo’eenuddin’
par ‘Ghulam’ na likhna khilaf-E-Aqeeda Ahl-E-
Sunnat hai ya Nahin?
Aala Hazrat (Alaihr Rehmah) Irshaad Farmaate
Hain:-‘Ajmer Shareef’ ke Naam-E-Paak ke sath
lafz-E-Shareef na likhna or un tamam mawaaqe
mein is ka Iltezaam (Laazim) karna Agar is bina
par hai ke Huzur Sayyeduna Khwaja Ghareeb
Nawaz (Radi ALLAHU Ta’ala Anhu) ki Jalwa Afrozi
Hayat-E-Zahiri wa Mazaar-E-Pur-Anwaar ko
(Jinke sabab Musalmaan Ajmer shareef kehte
hain) Wajh-E-Sharafat nahin jaanta to ‘Gumraah
balke A’dullaah (ALLAH ka Dushman) hai’.
Sahih Bukhari Shareef mein hai RASOOLULLAH
(SalALLAHU Alaihi Wasallam) Farmate hain,
ALLAH Azzawajalla Farmata hai: “JISNE MERE KISI
DOST SE DUSHMANI KI USKE KHILAAF MERA
AELAAN-E-JUNG HAI ” (Sahih Bukhari Shareef
Vol;2 Pg:962,964)
Aur Agar ye Napaak Iltezaam bar bina-E-kasl-o-
kotahi-E-Qalmi (Susti,laparwaahi ki wajeh se na
likhna) hai to Sakht Be-Barkata aur Fazl-E-
A’zeem or Khair-E-Jaseem se Mehroomi hai.
Jaise ke Imam Muhaqqiq Mohiuddeen Abu
Zakariya (Qadasa Sirrahu) ne ‘Tardhi’ me bayan
farmaya hai. Aur agar iska mubanna (Bunyad)
wahabiyat hai to wahabiyat kufr hai uske ba’d
Aisi baaton ko kiya shikayat … ﻣﺎﻋﻠﯽ ﻣﺜﻠﮧ ﺑﻌﺪﺍﻟﺨﻄﺎﺀ
Apne Naam se lafz-E-Ghulam is bina par
(hatana) hai ke Huzur Khwaja-e-Khawajgaan
(Radi ALLAHU Ta’ala Anho wa A’nhum) ka
Ghulam banne se Inkar-o-Istikbaar (Ghuroor)
rakhta hai ‘To Badastoor ‘Gumrah’ aur Ba-
Hukm-E-Hadees-E-Mazkurah ‘A’dullah’ (ALLAH
ka Dushman) hai or uska thikana jahannum.
ALLAH TA’ALA ka irshad-e-girami hai: “KYA
NAHIN JAHANNUM MEIN THIKANA
MUTAKABBIREEN KA” (Quran 39/60)
Aur bar Bina-E-WAahabiyat hai ke Ghulam-E-
Auliya-E-kiraam banne walon ko Mushrik aur
Ghulam Muhiuddeen wa Ghulam Moinuddeen ko
shirk jaanta hai to wahabiya khud zindeeq,
Bedeen, “AUR KUFFAR KE LIYE RUSWA KARNE
WALA AZAAB HAI” (Quran 5/58)
*** WALLAHU TA'ALA A'LAM ***
FATAWA-E-RAZVIYAH Vol15 page 264.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...