Chamakne
laga Sunniyat ka sitaara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Huwa
sard fitnoun ka har ekk sharara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Udhar
kufr ki saari tanzeemien shamill
Idhar
Ahle Sunnat akele muqabill
Magar
Sunniyoun ne hi maidaan maara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Fataawe
mein itni Hadeesen sajaayi
Ke
jiss pe karen Faqr Rooh E Buqaari
Bareily
bana Sunniyoun ka Buqaara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Go
urdu mein pehle bhi thi Naat goyi
Magar
qaabile tazkira thi na koyi
Falak
chu gaya Shayari ka Minaara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Bahut
hi munazzam the najdi wahabi
Thi
harsu kharabi kharaabi kharaabi
Huwa
ittehaad uska kull paara paara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Pachsou
uloom ekk seene mein maqfi
Fasaana
nahi ye haqeeqat hai Faizi
Magar
ye haqeeqat huwi aashkaara
Bareily
mein Ahmad Raza jabse aaye
Written by: [Let us know if you know]
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...