بسم الله الرحمٰن الرحیم
Huzoor Khatam un Nabiyin صلی الله علیه وسلم
Be Misl Hain La Jawab Hain,
Un Ki Tarah Doosra Koi Hua Na Hai Na Hoga,
Wuh Insaan Hain Magar Aam Insaan Ki Tarah Nahin,
Bashar Hain Magar Hum Jaise Nahin,
Wuh Noori Bashar Hum Khaki Bashar,
Ala Hazrat Farmte Hain,
ALLAH Ki Sar Ta ba Qadam Shaan Hain Yeh,
In Sa Nahin Insaan Wuh Insaan Hai Yeh,
QURAN To Imaan Batata Hai Inhe,
Imaan Yeh Kahta Hai Meri Jaan Hain Yeh
Magar WAHABI Apni Tarah Kehta Hai,
NABI Ko Sab Se Pahle Bashar Iblees Ne Kaha,Or AMBIYA Ko Apni Tarah Bashar Kuffar Ne Kaha,
Or NABI Ko Be Misl o Be Misaal Har Aib Se Paak Saaf Sahaba Ne Kaha,
Sahabi e Rasool Hazrat Hassan Farmate Hain,
واجمل منک لم تر قط عینی
واکمل منک لم تلد النساء
خلقت مبرّا من کل عیب
کأنّک قد خلقت کما تشاء
Meri Aankh Ne Aap Se Ziyadah Hasin Kisi ko Nahin Dekha,
Or Aap Se Bara Sahib e Kamal Kisi Maan Ne Kisi Ko Paida Hi Na Kiya,
Aap Har Aib Se Paak Paida Kiye Gae,
Goya K Jaisa Aap Ne Chaha Waisa Hi Aap Ko Paida Kiya Gaya,
Ala Hazrat Arz Karte Hain,
Tere To Wasf Aib Tanahi Se Hain Bari,
Hairan Hun Mera Shah Main Kiya Kiya Kahun Tujhe,
QURAN Majeed Ne IBLEES K Qaul Ko Bayan Kiya,
"قال لم اکن لاسجد لبشر" (پاره/٤/سوره/حجر آیت/٣٣)
Iblees Ne Kaha Mujh Ko Zeba Nahin K Bashar Ko Sajdah Karon,
Iblees Ne Hukm e Khuda Thukraya,
Hazrat ADAM Ko Sajadah Na Kar K Shaitan Ho Gaya,
QURAN Ne Kuffar K Qaul Ko Bayan Kiya,
"ما ھذا الا بشر مثلکم یأکل مما تأکلون ویشرب مما تشربون"(پاره/١٨/سوره/مؤمنون/آیت/٣٣)
(Kuffar Ne Kaha) Yeh To Nahin Magar Tum Jaisa Bashar,
Jo Tum Khate Ho Usi Mein Se Khata Hai,
Jo Tum Pite Ho Usi Mein Se Pita Hai,
Shaitan K Tariqe Par Chalte Kue Kuffar Ambiya Ko Apni Tarah Bashar Kahte Rahe,
Ab Shaitan Or Kuffar K Naqsh e Qadam Par Chalte Hue Wahabi o Dewbandi Bhi NABI e Akram صلی الله علیه وسلم Ko Apni Tarah Bashar Kahte Hain,نعوذ بالله من ذٰلک
Or Sahaba e Kiram رضی الله عنھم K Naqsh e Qadam Par Chalte Hue Ala Hazrat علیه الرحمه Baragah e Risalat Mein Arz Karte Hain,
Wuh Khuda Ne Hai Martaba Tujh Ko Diya Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila
K Kalam e Majeed Ne Khai Shaha Tere Shar o Kalam o Baqa Ki Qasam
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...