Haq Nagar Haq Bayaa'n Ibne Ahmed Raza
Deen Ki Izzo Shaa'n Ibne Ahmed Raza
Zo'af-E-Peeri Mein Taqwaa Ki Re'anaaiyaa'n
Jaise Rang-E-Jawaa'n Ibne Ahmed Raza
Woh Shariat Pe Husn-E-Amal Ki Phaban
Noor Ka Eik Samaa'n Ibne Ahmed Raza
Rukh Pe Shaan-E-Vilaayat Ki Jalwa Gari
Saaf Hoti Ayaa'n Ibne Ahmed Raza
Mansab-E-Ilm-O-Zohd-O-Karamat Mein
Apne Jadd Ke Nishaa'n Ibne Ahmed Raza
Fiqah Mein Buhaneefah Ke Aks-E-Jameel
Sharaa Ke Raazdaa'n Ibne Ahmed Raza
Tu Azeemat Ke Aafaaq Per Zo Figan
Jaise Ho Kehkashaa'n Ibne Ahmed Raza
Yaad-E-Haq Ne Tujhe Ker Diya Tha Jarri
Eik Haq Tarjumaa'n Ibne Ahmed Raza
Aap Apni Misaal Apne Aqraan Mein
Tujhsa Koi Kahaa'n Ibne Ahmed Raza
Aam Hai Aaj Bhi Hind Mein Char Soo
Tera Faiz-E-Rawaa'n Ibne Ahmed Raza
Zulm Ke Saamne Tha Tu Seena Sipar
Deen-E-Haq Ki Amaa'n Ibne Ahmed Raza
Wisaal Ke Baad Bhi Hai Qiyadat Teri
Rehbar-E-Kaarwaa'n Ibne Ahmed Raza
Hai Zamane Ke Maathe Pe Likhi Huee
Woh Teri Daastaa'n Ibne Ahmed Raza
Naqsh Teri Wilaayat Ka Hai Aaj Bhi
Zo Fishaa'n Zo Fishaa'n Ibne Ahmed Raza
Muntasib Hai Qamar Aap Ki Zaat Se
Kijiye Kaamiraa'n Ibne Ahmed Raza
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...